A good source of decent urdu poetry for all of you. You will find here nice and authentic urdu poetry of renowned poets. It has been tried to add error free and genuine famous ghazals, nazams and poetry of the poets.
Labels
Thursday, November 27, 2014
hai justuju ke khoob sey hai khoob tar kahan
ab theherti hai dekhye ja kar nazar kahan
hai justuju ke khoob se hai khoob tar kahan
ab theherti hai dekhye ja kar nazar kahan
hein dor jaam awal shab mein khudi sey door
hoti hai aaj dekhye ham ko sahar kahan
ya rab es ikhtalat ka anjam ho bakhair
tha es ko hum sey rabt magar es qadar kahan
ek umr chahye ke gawara ho naish ishq
rakhi hai aaj lazzat zakham jigar kahan
bas ho chuka bayan kasl o ranj raah ka
khat ka mere jawab hai aye nama bar kahan
kon o makan sey hai dil e wehshi kinara geer
as khanama kharab ney dhoonda hai ghar kahan
(Altaf Hussain Hali)
Monday, September 22, 2014
jo chal sako tou koi aisi chaal chal jana
mujhe guman bhi na ho aur tum badal jana
jo chal sako tou koi aisi chaal chal jana
mujhe guman bhi na ho aur tum badal jana
ye sho'lgee ho badan ki tou kya kya jaey
so lazmi tha tery pai'rhan ka jal jana
tum karo tou koi darman ye waqt aa pohncha
ke abb tou chara garon ko bhi hath mil jana
abhi abhi tou judai ki shaam ayee thi
hame ajeeb laga zindagi ka dhal jana
saji sajai hui mot zindagi tou nahi
mo'orikhon ney mqabir ko bhi mehal jana
ye kya ke tuu bhi es sa'at zawal mein hai
ke jis tarha hai sabhi soorajon ko dhal jana
har ek eshq ke baad aur uss ke ishq ky baad
Faraz itna bhi aasaan na tha sanbhal jana
(Ahmed Faraz)
Wednesday, September 17, 2014
kabhi kaha na kisi sey terey fasaney ko
na janey kaise khabar ho gai zamaney ko
kabhi kaha na kisi sey terey fasaney ko
na janey kaise khabar ho gai zamaney ko
dua bahaar ki mangi tou itney phool khiley
kahin jaga na rahi merey ashyaney ko
meri lahad pe patango ka khoon hota hai
huzoor shama na laya karen jalaney ko
suna hai ghair ki mehfil mein tum na jao gey
kaho tou aaj saja loon ghareeb khaney ko
daba key qabar mein sab chal dye dua na salam
zara see der mein kya ho gaya zamaney ko
abb agey es mein tumhara bhi naam aey ga
jo hukm ho tou yahin chorr dun fasaney ko
qamar zara bhi nahi tum ko khauf ruswai
chaley ho chandni shab mein inhein mananey ko
Tuesday, September 16, 2014
gaey dino ka suragh le kr kidhar se aya kidher gaya wo
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
gae dino ka suragh le kar kidhr se aya kidhr gaya wo
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
bas ek moti si chhab dikha kar bas ek mithi see dhun suna kar
sitara e sham ban ke aya ba rang e khwab e sahar gaya wo
khushi ki rut ho ke gham ka mausam nazar usey dhundti hai har dam
wo buu e gul thaa ki naghma e jan mere to dil men utar gaya wo
na ab wo yadon ka charhta darya na fursaton ki udas barkha
yunhi zara see kasak hai dil men jo zakham gahra tha bhar gaya wo
kuch ab sambhalney lagi hai jaan bhi badal chala daur e asman bhi
jo raat bhaari thi tal gai ha jo din kara tha guzar gaya wo
bas ek manzil hai bul hawas ki hazaar raste ein ahl e dil ke
yahin tou hai farq mujh mein us men guzar gaya main thahar gaya wo
shikasta paa raah mein khara hun gae dino ko bula raha hun
jo qaafila mera hum safar tha misal e gar e safar gaya wo
mera tuu khun ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bhigi
jo nala utha tha raat dil se na jane kyun be asar gaya wo
wo maikadey ko jaganey wala wo rat ki neend uraney wala
ye aaj kya uss ke jee mein aai ke sham hote hi ghar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitara wo ham nafas ham sukhan hamara
sada rahe uss ka naam pyara suna hai kal rat mar gaya wo
wo jis ke shane pe hath rakh kar safar kiya tuu ne manzilon ka
teri gali se na janey kyun aaj sar jhukaey guzar gaya wo
wo rat ka be nawa musafir wo tera shair wo tera Naasir
teri gali tak to ham ne dekha tha phir na janey kidhar gaya wo
di dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yad thi ab yaad aya
dil dharakene ka sabab yaad ayawo teri yad thi ab yaad ayaaaj mushkil tha sambhalan aye dosttuu musibat mein ajab yaad ayadin guzaara tha bari mushkil seyphir tera wada e shab yaad ayatera bhula hua paiman e wafa mar rahenge agar ab yaad ayaphir kai log nazar se guzrephir koi shahr e tarab yad ayahaal e dil ham bhi sunate lekinjab wo rukhsat hua tab yaad ayabaith kar saya e gul mein naasirham bohat roe wo jab yaad aya(Nasir Kazmi)
Thursday, September 11, 2014
waqt ki umer kya bari ho gi
ek terey wasl ki ghari ho gi
waqt ki umer kya bari ho giek tery wasl ki ghari ho gidastaken dey rahi hai palkon perkoi barsat ki jharri ho gikya khabr thi ke nok e khanjar bhiphool ki ek pankhari ho gizulf bal kha rahi hai mathey perchandni sey saba lari ho giaey adam key musafir o hushyarrah mein zindagi khari ho gikyun girah gaisuo'on mein dali haijan kisi phool ki arri ho giiltija ka malal kya kijyeen key dar par kahin pari ho gimot kehte hein jis ko aey Saghar!zindagi ki koi kari ho gi...
(Saghar Siddiqi)
Wednesday, September 10, 2014
mein aaina tha wo mera khayal rakhti thi
mein toot'ta tha tou chun kar sanbhal rakhti thi
mein aaina tha wo mera khayal rakhti thi
mein toot'ta tha tou chun kar sanbhal rakhti thi
har ek masley ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi mujhe hairat mein daal rakhti thi
mein jab bhi tark e ta'luq ki baat karta tha
wo rokti thi mujhe kal pe taal rakhti thi
bas ek wo thi jisey gaon mein dekhta tha
bas ek wo jo andamal rakhti thi
wo mere wastey khud ko nidhaal rakhti thi
to doobney nahi deti thi dukh ke darya mein
mere wujood ki nao uchal rakhti thi
duaen us ki balaon ko rok leti hein
wo mere char soohathon ki dhaal rakhti thi
ek aisi dhun key phir kabhi mein ne suni
wo munfarid sa hansi mein kamal rakhti thi
usey nadamatein meri kahan gawara theen
wo mere wastey asaan sawal rakhti thi
bicharr ke uss sey mein dunya ki thokaron mein hoon Mohsin
wo paas thi tou mujhey lazawaal rakhti thi
xheher tha naam ujaley ghulam they as key
wo zindagi key andherey ujal rakhti thi
wo muntazir meri rhti thi dhoop mein shayad
mein lot'ta tha tou chaon nikaal rakhti thi
Wednesday, August 27, 2014
in ki palkon per sitary apney honton per hansi
Qissa e gham kehte kehte hum kahan tak aa gaey
in ki palkon per sitarey apney honton per hansi
Qissa e gham kehte kehte hum kahan tak aa gaey
apni apni justuju hai apna apna shoq hai
tum hansi tak bhi na pohnchey hum fughan tak aa gaey
zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na tha
aap kis ki aarzu mein gulistan tak aa gaey
rafta rafta rang laya jazb e khamoshi e ishq
wo taghaful karte karte imtihan tak aa gaey
khud tumhen chaak e giribaan ka shaoor aa jaey gaa
tum wahan tak aa tou jao, hum jahan tak aa gaey
aaj qabil mae kadeymein inqalab aaney ko hai
ahl dil andesha e sood o zyaan tak aa gaey
Tuesday, August 26, 2014
wo ajeeb subh e bahar thi
ko sehr sey noha giri rahi
wo ajeeb subh bahar thi
ke sehr sey noha giri rahi
meri bastyan theen dhuan dhuan
mery ghar mein aag bhari rahi
mery rastey they lahu lahu
mera qarya qarya fagar tha
ye kaf e hwa pe zamin thi
wo falak ke musht e ghubar tha
kai abshar sey jism they
ko jo qatra qatra pighar gaey
kai khush jamal tlism they
jinhen gird bad nigal gaey
koi khwab nok sana pe tha
koi arzu tah e sang thi
koi phool abla abla
koi shakh marqad rang thi
kai lapata meri la'batin
jo kisi taraf ki na ho sakin
jo na aney walo key sath theen
jo na janey walo ko ro saken
kahin tarsaz sey kat gai
kisi matraba ki rag gulu
mae atisheen mein wo zehr tha
ke trkh gaey qadah wa saboo
koi nay nawaz tha dam bkhud
ke nafs sey hiddat jan gai
koi sar ba zano tha ba'rubd
ke sada e dost kahan gai
kahin naghmagi mein wo bane they
ke sama'aton ney suney nahi
kahin goonjtey they wo marsiye
ke Anees ne bhi kahe nahi
ye jo sang rezon ke dher hein
yahan motiyon ki dukan thi
ye jo saebaan dhuwen ke hien
yahan badalon ki uraan thi
jahan roshni hai khandar khandar
yahan qumqumon sey jawan they
jahan chyutian huin khaima zan
yahan jugnu'oon key makan they
kahin abgeena khayal ka
ke jo karb zabt sey choor tha
kahin aeena kisi yaad ka
ke jo aks yaar sey door tha
mery bismilon ki qana'atein
jo barhaein zulm key hosley
mery abu'oon ka chakeeda khoon
jo shikaryon ko suragh dey
meri adal gahon ki maslehat
mery qatilon ki wakeel hai
mery khanqahon ki manzilat
meri buzdili ki daleel hai
mery ahl e harf o sukhn sara
jo gadagaro me badal gaey
mery ham safeer they heela juu
kisi aur simt nikal gaey
kai fakhtaon ki chaal mein
mujhe kargason ka chalan laga
kai chaand bhi they syah ruu
kai soorajon ko gehen laga
koi tajir hasab o nasb
koi deen farosh qadeem hai
yahan kafash bar bhi imam hen
yahan naat khwan bhi kaleem hai
koi fikr mand kulah ka
koi daawa dar quba ka hai
wohi ehl dil bhi hein zeb e tan
jo libas ahl e raya ka hai
mery pasban, mery naqab zan
mera mulk milk yateen hai
mera dais meer sipah ka
mera sheher mal e ghaneem hai
jo rawish hai sahib e takht ki
so msahibon ka tareeq hai
yahan kotwal bhi duzd shab
yahan sheikh deen bhi fareeq hai
yahan sab key nirkh juda juda
esey mol lo esey tol do
jo talab kare koi khoon baha
tuu dahan khazaney key khol do
wo jo sarkashi ka ho mutakab
esey qumchyon sey zuboon karo
jahan khalq shehr ho mushtail
esey golyon sy nigoon karo
magar aisey aisey ghani bhi they
esi qehet zar damishq mein
jinhen kuey yaar aziz tha
jo kharey they maqtal ishq mein
koi bankpan mein tha koh kan
tuu junoon mein Qais sa tha koi
jo surahiyan lye jism ki
mae naab khoon sey bhari hui
they sada balb ke pyo pyo
ye sabeel ahl wafa ki hai
ye nasheed nosh e badan karo
ye kasheed tak e wafa ki hai
koi tashna lab hi na tha yahan
jo pukarta ke idher udher
sabhi muft bar they tamasha hein
koi bazm mein koi baam par
sabhi be hisi key khumaar mein
sabhi apney haal mein mast they
sabhi rahrawan e rah e adam
magar apney zo'om mein bast they
so lahu k jaam undel kar
mery janfarosh chale gaey
wo sukoot tha sar mae kada
ke wo kham badosh chaley gaey
koi mahbason mein rasan ba pa
koi maqtalon mein dareeda tan
na kisi key haath mein shakh ney
na kisi ky lab pe gul sukhun
isi arsa shab taar mein
yunhi ek umr guzar gai
kabhi roz wasl bhi dekhtey
ye jo arzoo thi wo mar gai
yahan roz hashar bapa hue
pe koi bhi roz jaza nahi
yahan zindagi bhi azaab hai
yahan mot bhi shafa nahi
(Ahmad Faraz)
Monday, August 25, 2014
lab e khamosh sey izhar tamanna chahen
baat karney ko bhi tasweer ka lehja chahen
lab e khamosh sey izhar tamanna chahen
bat karney ko bhi tasweer ka lehja chahen
tou chaley sath tou aahat bhi na aey apni
darmyan hum bhi na hon yun tujhy tanha chaheyn
zahiri ankh sey kya dekh sake ga koi
apney batin pe bhi hum fash na hona chahen
jism poshi ko miley chadar aflak hume
sar chupaney ky lye wusat e sehra chahen
khwab mein ro'oeyn tou ehsas ho serabi ko
rait per so'oeyn magar ankh mein darya chahen
bhaint charh jaon na mein apney hi khair o shar ki
khoon e dil zabt karen, zakhm e tamasha chahen
zindagi ankh sey ojhal ho magar khatam no ho
ek jahan aur pas e parda dunya chahen
aaj ka din tou chalo kat gaya jaisey bhi kata
ab khudawand sey khairyat e farda chahen
aisey tairak bhi dekhey hein muzaffar hum ney
gharq honey ky lye bhi jo sahara chahen
aisey tairak bhi dekhey hein muzaffar hum ney
gharq honey ky lye bhi jo sahara chahen
kal shab jo mein ney khwab dekha
ek paikar e ijz aalam shabab dekha
kal shab jo mein ney khwab dekhaek paikar e ijz alam shabab dekhawo mangti thi sar jhukaey duaudas chehra malboos hijab dekhazer e lab yun shiddat sey goya huibehte ansuo'onka ek sailab dekhakhuda janey kya dukh tha esy likeinkhud par es ka asar be hisab dekhabohat poocha, par wo kahan thi muwajabe basi sey barh kar na azab dekhawo anjan sa chehra bhoolta hai kahanjisey gehri neend mein ham rakab dekhayun dil ka dil sey milna, cheez oy kia?parha, swcha, khulta ishq ka bab dekhaalam bedari mein bey soorat wohi kashifkal jazbon mein mohabbat ko lajwab dekhabaqi jahan me qais na farhad reh gaya
afsana ashiqon ka faqat yad reh gaya
baqi jahan men qais na farhad reh gaya
afasana ashiqon ka faqat yad reh gaya
ye sakht-jan to qatl se nashad reh gaya
khanjar chala to baazu e jallad reh gaya
pabandiyon ne ishq ki bekas rakha mujhe
main sou asiriyon men bhi azaad reh gaya
chashm e sanam ne yun to bigare hazar ghar
ik kaba chand roz to abad reh gaya
mahshar men ja e shikwa kiya shukr yar ka
jo bhulana tha mujh ko wohi yad reh gaya
un ki to ban pari ki lagi jan muft hath
teri girah men kya dil e nashad reh gaya
pur noor ho rahega ye zulmat kada agar
dil men buton ka shauq e khuda dad reh gaya
yun ankh un ki kar ke ishara palat gai
goya ke lab se ho ke kuch irshad reh gaya
naseh ka ji chla tha hamari tarha magar
ulfat ki dekh dekh ke uftad reh gaya
hen tere dil men sab ke thikaney burey bhaley
men khanaman kharab hi barbad reh gaya
wo din gaey ke thi mere seeney men kuch kharash
ab dil kahan hai dil ka nishan yad reh gaya
soorat ko terei dekh ke khinchti hai jan khalq
dil apna tham tham key bozad reh gaya
aey Daagh dil hi dil men ghuley zabt ishq sey
afsos shoq nala o faryad reh gaya
Thursday, August 21, 2014
ajab apnaa haal hota jo visal e yaar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota
ajab apna haal hota jo visaal e yaar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ya qayamat na phir ashkar hota
tere dil pe kash zalim mujhe ikhtyaar hota
jo tumari tarha tum se koi jhute wade karta
tumhin munsifi se keh do tumhen e'tibaar hota
gham e ishq men maza tha jo usey samajh ke khatey
ye wo zehr hai ke aakhir mai e khush gawaar hota
ye maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti
na tujhey qarar hota na mujhe qarar hota
ye maza hai dushmani men na hai lutf dosti men
koi ghair ghair hota koi yar yar hota
tere wadey per sitamgar abhi aur sabr kartey
agar apni zindagi ka hamey e'tibar hota
ye wo dard e dil nahi ha ke ho charasaz koi
agar ek bar mit'taa to hazar baar hota
gaey hosh terey zahid jo wo chashm e mast dekhi
mujhe kya ulat na detey jo na bada khwar hotaa
mujhey mantey sab aisa ke aduu bhi sajdey kartey
dar e yar ka'ba banta jo mera mazar hota
tumhen naz ho na kyunkar ke liya hai 'Dagh' ka dil
ye raqam na hath lagti na ye iftikhar hota
(Daagh Dehelvi)
aap ka eit'baar kon kare
roz ka intizaar kaun karey
aap ka eit'baar kaun karey
roz ka intezaar kaun karey
zikr e mehr o wafa to ham karte
phir tumhen sharmsar kaun kare
ho jo us chashm e mast se be khud
phir usey hoshyaar kaun karey
tum to ho jaan ek zamaney kii
jaan tum par nisaar kaun karey
aafaat e rozgaar jab tum ho
shikwa e rozgaar kaun karey
apni tasbih rehney de zaahid
daana danaa shumar kaun karey
hijr men zehr kha key mar jaa'un
mout ka intizaar kaun karey
ankh hai tark e zulf ha sayyaad
dekhen dil ka shikar kaun kare
vada karte nahin ye kehte hein
tujh ko umeedwaar kaun karey
'Dagh' ki shakal dekh kar boley
aisi soorat ko pyaar kaun karey
khat mein likhey huey ranjish key kalam aatey hein
kis qayamat key ye namey, mery naam atey hein
khat mein likhey huey ranjish key kalam atey heinkis qayamat key ye namey.merey naam atey heintaab-e-nazara kisey dekhey jo in key jalweybijliyan kondti hein, jab lab-e-baam atey heintuu sahi hashar mein tujh sey jo na ye kehwa duundost wo hotey hein jo waqt pe kaam atey heinrehber o rah e mohabbat ka khuda haafiz haies men do chaar bohat sakht maqaam atey heinwo dara hun key samjhta hun ye dhoka tou na hoabb wahan sey jo mohabbat key payam atey hensabar karta hai kabhi aur tarapta hai kabhidil e nakaam ko apney yehi kaam atey heinna kisi shakhs ki izzat na kisi ki toqeeraashiq aatey hein tumharey. ke ghulam atey heinrasm e tehrir bhi mit jaey, yehi matlab haiun ke khat mein mujhey ghairon key salam atey henwasl ki raat guzar jaey na by lutfi meinke mujhy neend key jhonkey sar e shaam atey heinDaagh ki tarha sey gul hotey hen sadqey qurbanbaher gul gasht e chaman mein jo nizaam atey hein(Daagh Dehelvi)
Monday, July 7, 2014
kya karey meri masihaai bhi kareny wala
zakham hi ye mujhe lagta nahin bharney walaa
kya kare meri masihai bhi karney wala
zakhm hi ye mujhe lagta nahin bharne wala
zindagi se kisi samjhaotey ke baawasf ab tak
yaad ata hai koi marney marney wala
uss ko bhi hum tere kuchey mein guzar aey hein
zindagi mein wo jo lamha tha sanwarney wala
uss ka andaz-e-sukhan sb se juda tha shayad
baat lagti hui lehja wo mukarney wala
shaam honey ko hai aur aankh men ek khwab nahin
koi es ghar men nahin roushni karney wala
dastaras mein heinanasir ke irade kis key
so bikhar ke hi raha koi bikharney wala
isi umeed pe har sham bujhaey hein charagh
ek taara hai sar e baam ubharney wala
ho jata hai shetan bhi qaid ke ye hai maah e ramzan
bas tumhen ab larna hai apney nafs sey ke ye hai maah e ramzan
Ho Jata Hai Shetan Bhi Qaid Ke Ye Hai Maah e Ramzan
Bas Tumhen Ab Larna Hai Apney Nafs Sey Ke Ye Hai Maah e Ramzan
Ab Chl Paro Tum Sirat e Mustaqeem Per Ke Jo Hai Tumhari Manzil
Phir Moqa Diya Hai Tumhen Tumharey Rabb Ney Ke Ye Hai Maah e Ramzan
Ho Hamarey Mulk Mein Aman Ka Gehwara Aur Miley Hazaron Khushyan Khudara!
Yun Apni Rehmat Ke Saya Kar Dey Puri Hamari Sab Duaeyn Ke Ye Hai Maah e Ramzan
Tuesday, June 10, 2014
ye aarzoo thi tujhe gul ke rubaru kartey
hum aur bulbul e bey taab guftugu krtey
ye aarzu thi tujhey gul ke ruba ru krtey
hum aur bulbul e bey taab guftugu krtey
payambar na muyassir hua, tou khoob hua
zuban e ghair sey kya sharh-e-arzoo krtey
meri tarha sey mah wa mehr bhi hein awaara
kisi habib ki ye bhi hein justuju krtey
jo dekhtey teri zanjeer zulf ka alam
aseer honey ki azaad arzu krtey
na pooch alam e bargashta tal'eee aatish
barasti aag jo baraan ki aarzoo krtey
Tuesday, May 13, 2014
mohabbat ka irada badal jana bhi mushkil hai
tumhen khona bhi mushkil hai tmhen pana bhi mushkil hai
Mohbbt ka irada badal jana bhi mushkil hai
tumhen khona bhi mushkil hai tmhen pana bhi mushkil hai
udasi tere chehre ki gawara bhi nahi lekin
teri khatir sitarey torr ke lana bhi mushkil hai
zara c baat pe ankhen bhigo key bith jatey ho
tmhen tou apney dil ka haal batana bhi mushkil hai
Thursday, May 1, 2014
ankho me sitarey tou kai shaam sey utrey
ankho mein sitarey tou kai shaam sey utrey
par dil ki udasi na dar o baam sey utrey
kuch rang tou ubhrey teri gul pairheni ka
kuch zang tou aainaa ayyam sey utrey
hotey rahe dil lamha ba lamha teh o bala
wo zeena ba zeena barey aaraam sey utrey
jab tak tery qadmo mein farokash hien sabokash
saqi khat e bada na lab e jaam sey utrey
Wednesday, April 30, 2014
Tuesday, April 29, 2014
raat ke pursukoon lamho men
raat ke pur sukoon lamhon me
jab kabhi teri yaad ati hai
raat key pur sukoon lamho mein
jab kabhi teri yaad atii hai
es gharri mein khuday-e-bartar sey
teri khushyon ki bheek mangta hun
mein dua go hun terey sarey gham
meri qismat mein sarey aa jaein
merey hissey ki mumkina khushyan
terey hissey mein sari aa jaein
Wednesday, April 9, 2014
aam hukm e sharab karta hun
mohtasib ko kabab karta hun
aam hukm e sharab karta hun
mohtasib ko kabab karta hun
tuk to rah aii bina e hasti tu
tujh ko kaisa kharab karta hun
bahas karta hun ho ke abjad khwan
kis qadar be hisab karta hun
koi bujhti hai ye bharak men abas
tishnagi par itab karta hun
sar talak ab e tagh men hun gharaq
ab tain aab aab karta hun
jee men phirta hai "Mir" wo mere
jaagta hun ki khwab karta hun
(Mir Taqi Mir)
Thursday, March 27, 2014
guftugu achi lagi zoq e nazar acha laga
muddaton ke baad koi hum safar acha laga
guftugu achi lagi zoq e nazar acha laga
muddaton key baad koi hamsafar acha laga
dil ka dukh jana tou dil ka masla hai per hame
es ka hans dena hamarey haal per acha laga
har tarha ki be saro samaniyon ke bawajood
aaj wo aaya tou mujh ko apna ghar acha laga
baghban gulcheen ko chahey jo kahe ham ko tou phool
shaakh se barh kar kafe dildar per acha laga
koi maqtal men na pohncha kon zalim tha jisey
tegh e qatil sey zyada apna sar acha laga
ham bhi qail hein wafa mein estwari ke magar
koi puchey kon kis ko umr bhar acha laga
(Ahmed Faraz)
Tuesday, January 28, 2014
chalo safak zulmat key badan ka ek tukra tou kata
aur waqt ki be intehai key samandar mein
chalo saffak zulmat key badan ka ek tukra tou kata
aur waqt ki be intehai ke samandar mein
koi taboot girney ki sada ayee
ye mana raat ankhon mei kati
ek ek pal but sa ban kar jam gaya
ek saans tou ek sadi key baad phir sey saans lene ka khayal ayaa
ye sab sach hai ko raat ek karb be payan thi
lekin karb hi tkhleeq hai
aey pou phatey key dil ruba lamho gawahi do
yun hi kat'ti chali jaein gi ratin
aur phir wo aftaab ubhrey ga
jo apni shuaoon sey abad ko roshni bakhshey ga
phir koi andheri dharti ko na chuu paey ga
dana yan mazhab key mutabiq hashar aa jaey ga
lekin hashar bhi ek karb hai
har karb ek takhleeq hai
aye pou phatey ke dil ruba lamho gawahi do
(Ahmad Nadeem Qasmi)
rait sey butt na bana aey mere achey fankar
ek lamhe ko theher mein tujhey pathar laa dun
rait sy butt na bana aye mere achey fankaar
ek lamhe ko theher mein tujhey pathar laa dun
mein terey samny anbaar laga dun lekin
kon sey rang ka pathar terey kaam aey ga
surkh pathar jisey dil kehti hai be-dil dunya
ya wo patharaai hui ankh ka neela pathar
jis mein sadyon key tahayyar ke parey hon doorey
kya tujhey rooh ke pathar ki zarurat ho gi
jis pe haq baat bhi pathar ki tarha girti hai
ek wo pathar hai jo kehlata hai tehzeeb sufaid
es key mar mar mein syah khoon jhalak jata hai
ek insaaf ka pathar bhi tou hota hai magar
haath mein taisha-e- zar ho tou wo haath aataa hai
jitney meyaar hein es dor key sab pathar hein
jitni aqdaar hein es dor ki sab pathar hein
sabza o gul bhi hawa aur faza bhi pathar
mera ilhaam tera zehen rasa bhi pathar
es zamaney mein tou har fan ka nishan pathar hai
haath pathar hein terey meri zuban pathar hai
rait sey butt na bana ay mere achey fankaar
(Ahmad Nadeem Qasmi)
shaam ko subha chama yaad ayee
kis ki khushbu-e-badan yaad ayee
shaam ko subha chama yaad ayee
kis ki khushbu-e-badan yaad ayee
jab khayalon mein koi morr aayaa
terey gaisoo ki skhikan yaad ayee
yaad aye tere paikar key khutoot
apni kotahi fann yaad ayee
chaand jab dor e ufaq par dooba
tere lehje ki thakan yaad ayee
din shu'aoon sey ulajhtey guzra
raat ayee tou kiran yaad ayee
(Ahmad Nadeem Qasmi)
Wednesday, January 22, 2014
dayar e dil ki rat mein charagh sa jala gaya
mila nahin tou kya hua wo shakal tou dikha gaya
dayar e dil ki rat mein charagh sa jala gaya
mila nahin tou kya hua wo shakal tou dikha gaya
wo dosti tou khair ab naseeb dushmana huii
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chalaa gaya
judayon key zakham dard zindagi ney bhar dye
tujhey bhi neend aa gai mujhe bhi sabar aa gaya
pukarti hein fursatein kahan gaiiin wo sohbatein
zamin nigal gai inhien ke aasman kha gayaa
ye subha ki sfaidyan ye dopeher ki zardyan
ab aiiney mein dekhta hun mein kahan chala gaya
ye kis khushi ki rait par ghamo ki neend aa gai
wo lehr kis taraf gai ye min kahan sama gaya
gae dino ki lash par parey raho gey kab talak
alam kasho uthho key aftaab sar pe aa gaya
(Nasir Kazmi)
daur e falak jab dohrata hai mosam e gul ki raton ko
kunj e qafas mein sun lete hen bhuli bisri baton ko
daur e falak jab dohrata hai mosam e gul ki raton ko
kunj e qafas mein sun lete hein bhuli bisri baton ko
reg e ravan ki narm tahon ko cherti hai jab koi hawa
sooney sehra cheekh utthey hein adhi adhi raton ko
atishe e gham ke sail e rawan mein ninden jal kar raakh huiin
pathar ban kar dekh raha hun aati jati raton ko
mai khane ka afsurda mahol to yun hi rahna hai
khushk labon ki khair manao kuch na kaho barsaton ko
Nasir mere munh ki baten yun to sachche moti hein
lekin un ki baten sun kar bhul gaey sab baton ko
(Nasir Kazmi)
Tuesday, January 14, 2014
asar kare na karey sun tou ley meri faryad
nahi hai daad ka taalib ye band e azad
asar kare na kare sun tou le meri faryad
nahi hai daad ka talib ye banda e azad
ye musht khak ye sar sar ye wusat aflak
karm hai ya ke sitam teri lazzat ijaad
thehr saka na hawa e chaman mein khaima e gul
yehi hai fasl bahari yehi hai bad murad
qusoorwar gharib udyar hun lekin
tera kharab farishtey na kar sakey abaad
meri jafa talabi ko dua'en deta hai
wo dasht sada wo tera jahan be bunyad
khatar pasand tabiat ko sazgar nahi
wo gulistan ke jahan ghaat mein na ho sayyad
maqam shoq terey qudsyon ke bas ka nahin
inhi ka kam hai ye jin key hosley hein zyad
(Allama Iqbal)
aflaak se ataa hai nalon ka jawab aakhir
karte hein khitab aakhir uthtey hein hijab akhir
aflaak se aata hai nalo'n ka jawab akhir
karte hien khitab akhir uthtey hein hijab akhir
ahwal mohabbat mein kuch farq nahin aisa
soz o tab o taab awwal soz o tab o tab akhir
mein tujh ko batata hun taqdir e umam kya hai
shamshir o sana awwal taoos o rabab akhir
mai khana e europe key dastoor niraley hein
latey hein suroor awwal ditey hein sharab akhir
kya dabdab e Nadir kya shoukat e Taimoori
ho jatey hein sab daftar gharq mee'ey naab akhir
khalwat ki gharri guzri jalwat ki gharri aeeee
chhatney ko hai bijli sey aaghosh sahaab aakhir
tha zabt boht mushkil es sail ma'aani ka
keh daley qalandar ney israar kitaab aakhir
(Allama Iqbal)
Sunday, January 12, 2014
aaraish khayal bhi ho dil kusha bhi ho
wo dard ab kahan jisey jee chahta bhi ho
aaraish khayal bhi ho dil kusha bhi ho
wo dard ab kahan jise jee chahta bhi ho
ye kya ke roz ek sa gham ek see ummeed
es ranj by khumar ki ab inteha bhi ho
ye kya ke ek toor se guzrey tamam umr
jee chahta hai ab koi tere siwa bhi ho
tootey kabhi tou khwab shab o roz ka tilism
itney hujoom mein koi chehra naya bhi ho
deewangi e shoq ko ye dhun hai en dino
ghar bhi ho aur be dar o deewar sa bhi ho
juzw dil koi makan nahi deher mein jahan
rahzan ka khof bhi na rahe dar khula bhi ho
har zarra ek mohmal ibrat hai dasht ka
lekin kisey dikhaon koi dekhta bhi ho
har shae pularti hai pas parda e sukoot
lekin kisey sunaon koi ham nawa bhi ho
fursat mein sun shaguftagi e ghuncha ki sada
ye wo sukhan nahi jo kisi ney kahan bhi ho
betha hai ek shakhs merey pas der sey
koi bhala sa ho tou hame dekhta bhi ho
bazm e sukhan bhi ho sukhan garm key ley
taaoos bolta ho tou jangle hara bhi ho
(Nasir Kazmi)
aaj tuu be sabab udas hai G
ishq hota tou koi baat bhi thi
aaj tuu be sabab udas hai G
ishq hota tou koi baat bhi thi
jalta phirta hun mein dopehron mein
janey kya cheez kho gai meri
wahin phirta hun mien bhi khak basar
es bharey shehr mein hai ek gali
chupta phirta hai ishq dunya sey
phailti ja rahi hai ruswai
ham nashin kya kahun ke wo kya hai
chorr ye baat neend urney lagi
aaj tou wo bhi kuch khamosh sa tha
mein ney bhi uss sey koi baat na ki
ek dam es ka hath chorr dya
janey kya baat darmyan aai
tou jo itna udaas ha Nasir
tujhe kya ho gaya bata tou sahi
apni dhun mein rehta hun
mein bhi tere jaisa hun
apni dhun mein rehta hun
mein bhi tere jaisa hun
O pichli rut key sathi
ab key baras mein tanha hun
terei gali mein sara din
dukh key kankar chunta hun
mujh sey aankh milaey kon
mein tera aaeena hun
mera diya jalaey kon
mein tera khali kamra hun
terey siwa mujhe pehne kon
mein tere tan ka kapra hun
tuu jeevan ki bhari gali
mein jangle ka rasta hun
aati rut mujhe roey gi
jati rut ka jhonka hun
apni lehr hai apna rog
darya hun aur pyasa hun
(Nasir Kazmi)
ishq mein jeet hui yaa maat
aaj ki raat na chairhh ye baat
ishq me jeet hui ya maat
aaj ki raat na chairhh ye baat
yun aaya wo jan e bahar
jaise jag mein pheley baat
rang khuley sehraa ki dhoop
zulf ghaney jangle ki raat
kuch na kaha aur kuch na suna
dil mein reh gai dil ki baat
yaar ki nagri koson door
kaise katey gi bhari raat
basti walo se chup kar
ro lete hein pichli raat
sannaton mein suntey hein
suni sunaai koi baat
phir jarey ki rut aai
chota din aur lambi raat
(Nasir Kazmi)
justuju khoey huo'on ki
chand key hamrah ham har shab safar karte rahe
justuju khoey huo'on ki umr bhar karte rahe
chand key hamrah ham har shab safar karte rahe
raston ka ilm tha na ham ko simton ki khabar
shehr-e-na maloom ki chahat magar karte rahe
ham ney khud sey bhi chupaya aur sarey shehr ko
terey janey ki khabar deewar o dar karte rahe
wo na aaey ga hamey maloom tha uss sham bhi
intzaar uss ka magar kuch soch kar karte rahe
aaj ayaa hai hame bhi unn urano ka khayal
jin ko terey zo'am men be baal o par karte rahe
(Perveen Shakir)
Monday, January 6, 2014
yehi nahi koi toofan meri talash mein hai
ke mosam gham e jana meri talash me hai
yehi nahi koi toofan meri talash mein hai
ke mosam gham janaa meri talash mein hai
wisaal rut hai magar dil ko aisa lagta hai
sitara e shab hijraan meri talash mein hai
mein faisley ki gharri sey guzar chuki hun magar
kisi ka deeda e hairaan meri talash mein hai
ye bey yaqeen si aasoodgi batati hai
ke ek qarya e veeran meri talash mein hai
mein teergi mein mohabbat ki ek kahani hun
mooi charagh sa unwaan meri talash mein hai
ye kaisa khwab tha dharka sa lag gaya dil ko
ke ek shakhs pareshan meri talash mein hai
(Noshi Gilani)
bohat tareek sehraa ho gaya hai
hawa ka shor gehra ho gaya hai
bohat tareek sehraa ho gaya hai
hawa ka shor gehra ho gaya hai
kisi key lams ka ye mo'ojaza hai
badan sara sunehra ho gaya hai
ye dil dekhun ke jis key chaar janib
teri yaadon ka pehraa ho gaya hai
wohi hai khal o khad mein roshni see
pe til ankho ka gehraa ho gaya hai
kabhi es shakhs ko dekha hai tum ney
mohabbat sey sunehra ho gaya hai
(Noshi Gilani)
kon bhanwar mein mallahon sey ab takrar kare ga
ab tou qismat sey hi koi darya par kare ga
kon bhanwar mien mallahon sey ab takraar kare ga
ab tou qismat sey hi koi darya par kare ga
sara shehr hi tareeki par yun khamosh raha tou
kon charagh jalaney key paida aasaar kare ga
jab es ka kirdaar tumhare sach ki zad meN aaya
likhney wala shehr ki kaali har deewar kare ga
jane kon see dhun mein tere shehr mein aa nikley hein
dil tujh sey milney ki khwahish ab so baar kare ga
dil mien tera qayam tha lekin ab ye kisey khabar thi
dukh bhi apney honey par itna israar kare gaa
(Noshi Gilani)
Subscribe to:
Posts (Atom)