Showing posts with label faiz ahmed faiz. Show all posts
Showing posts with label faiz ahmed faiz. Show all posts

Thursday, September 26, 2013

hum ke thehrey ajnabi itni madaraton ke bad

hum ke thehry ajnabi itni madaraton ke bad


hum ke thehrey ajnabi itni madaraton ke bad
phir baney gey aashna kitni mulaqaton key bad

kab nazar mein aey gi bey dagh sabzey ki bahar
khoon key dhabbey dhulein gey kitni barsaton ke bad

they boht hi bey dard lamhey khatm dard-e-ishq key
theen boht bey meher subhein mehrban raton key bad

dil tou chaha per shikast-e-dil ney mohlat hi na di
kuch giley shikwey bhi kar letey manajaton key bad

in sey jo kehney gaey they Faiz jaan sadqa key lye
an kahi hi reh gai wo baat sab baton key baad !!!

Thursday, May 16, 2013

mujh se pehli si mohabbt mere mehboob na mang

mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na mang

me ne samjha tha ke tu hai tou darakhshan hai hayat
tera gham hai tou gham-e-deher ka jhagra kya hai
teri soorat se hai aalam me baharon ko sabat
teri ankho ke siwa dunya me rakha kya hai?
tu jo mil jaey tou taqdeer nigun ho jaey
yun na tha, me ne faqat chaha tha yun ho jaey
aur bhi dukh hein zamaney me mohabbat ke siwa
rahatein aur bhi hein wasal ki rahat ke siwa

an ginat sadyon ke tareek baheemana tilism
resham o atlas o kamkhab me bunwaey huey
jabaja biktey huey koocha o bazar me jism
khak me lithrey hue khoon me nehlaey huey

laut jati hai idher ko bhi nazar kya kijye
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kijye
aur bhi dukh hein zamaney me mohabbat ke siwa
rahatein aur bhi hein wasl ki rahat ke siwa

mujh se pehli si mohabbt mere mehboob na mang

Monday, May 13, 2013

jab teri samandar ankhon mein

ye dhoop kinara shaam dhaley


ye dhoop kinara shaam dhaley
miltey hein dono waqt jahan

jo raat na din, jo aj na kal
pal bhar ko amar, pal bhar ko dhuan

es dhoop kinarey pal do pal
honton ki lapak

bahon ki jhalak
ye mail hamara jhoot na sach

kyun zaar karo kyun dosh dharo
kis karan jhooti baat karo

jab teri samndar ankho mein
es shaam ka suraj doobey ga

sukh soeyn ge ghar dar waley
aur rahi apni raah le ga

(Faiz Ahmed Faiz)