Monday, August 25, 2014

lab e khamosh sey izhar tamanna chahen

baat karney ko bhi tasweer ka lehja chahen


lab e khamosh sey izhar tamanna chahen
bat karney ko bhi tasweer ka lehja chahen
tou chaley sath tou aahat bhi na aey apni
darmyan hum bhi na hon yun tujhy tanha chaheyn
zahiri ankh sey kya dekh sake ga koi
apney batin pe bhi hum fash na hona chahen
jism poshi ko miley chadar aflak hume
sar chupaney ky lye wusat e sehra chahen
khwab mein ro'oeyn tou ehsas ho serabi ko
rait per so'oeyn magar ankh mein darya chahen
bhaint charh jaon na mein apney hi khair o shar ki
khoon e dil zabt karen, zakhm e tamasha chahen
zindagi ankh sey ojhal ho magar khatam no ho
ek jahan aur pas e parda dunya chahen
aaj ka din tou chalo kat gaya jaisey bhi kata
ab khudawand sey khairyat e farda chahen
aisey tairak bhi dekhey hein muzaffar hum ney
gharq honey ky lye bhi jo sahara chahen

No comments:

Post a Comment