Tuesday, January 28, 2014

chalo safak zulmat key badan ka ek tukra tou kata

aur waqt ki be intehai key samandar mein

chalo saffak zulmat key badan ka ek tukra tou kata
aur waqt ki be intehai ke samandar mein
koi taboot girney ki sada ayee

ye mana raat ankhon mei kati
ek ek pal but sa ban kar jam gaya
ek saans tou ek sadi key baad phir sey saans lene ka khayal ayaa
ye sab sach hai ko raat ek karb be payan thi
lekin karb hi tkhleeq hai
aey pou phatey key dil ruba lamho gawahi do

yun hi kat'ti chali jaein gi ratin
aur phir wo aftaab ubhrey ga
jo apni shuaoon sey abad ko roshni bakhshey ga
phir koi andheri dharti ko na chuu paey ga
dana yan mazhab key mutabiq hashar aa jaey ga
lekin hashar bhi ek karb hai
har karb ek takhleeq hai
aye pou phatey ke dil ruba lamho gawahi do

(Ahmad Nadeem Qasmi)

rait sey butt na bana aey mere achey fankar

ek lamhe ko theher mein tujhey pathar laa dun

rait sy butt na bana aye mere achey fankaar
ek lamhe ko theher mein tujhey pathar laa dun
mein terey samny anbaar laga dun lekin
kon sey rang ka pathar terey kaam aey ga
surkh pathar jisey dil kehti hai be-dil dunya
ya wo patharaai hui ankh ka neela pathar
jis mein sadyon key tahayyar ke parey hon doorey
kya tujhey rooh ke pathar ki zarurat ho gi
jis pe haq baat bhi pathar ki tarha girti hai
ek wo pathar hai jo kehlata hai tehzeeb sufaid
es key mar mar mein syah khoon jhalak jata hai
ek insaaf ka pathar bhi tou hota hai magar
haath mein taisha-e- zar ho tou wo haath aataa hai
jitney meyaar hein es dor key sab pathar hein
 jitni aqdaar hein es dor ki sab pathar hein
sabza o gul bhi hawa aur faza bhi pathar
mera ilhaam tera zehen rasa bhi pathar 
es zamaney mein tou har fan ka nishan pathar hai
haath pathar hein terey meri zuban pathar hai
rait sey butt na bana ay mere achey fankaar

(Ahmad Nadeem Qasmi)


shaam ko subha chama yaad ayee

kis ki khushbu-e-badan yaad ayee

shaam ko subha chama yaad ayee
kis ki khushbu-e-badan yaad ayee

jab khayalon mein koi morr aayaa
terey gaisoo ki skhikan yaad ayee

yaad aye tere paikar key khutoot
apni kotahi fann yaad ayee

chaand jab dor e ufaq par dooba
tere lehje ki thakan yaad ayee

din shu'aoon sey ulajhtey guzra
raat ayee tou kiran yaad ayee

(Ahmad Nadeem Qasmi)

Wednesday, January 22, 2014

dayar e dil ki rat mein charagh sa jala gaya

mila nahin tou kya hua wo shakal tou dikha gaya

dayar e dil ki rat mein charagh sa jala gaya
mila nahin tou kya hua wo shakal tou dikha gaya

wo dosti tou khair ab naseeb dushmana huii
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chalaa gaya

judayon key zakham dard zindagi ney bhar dye
tujhey bhi neend aa gai mujhe bhi sabar aa gaya

pukarti hein fursatein kahan gaiiin wo sohbatein
zamin nigal gai inhien ke aasman kha gayaa

ye subha ki sfaidyan ye dopeher ki zardyan
ab aiiney mein dekhta hun mein kahan chala gaya

ye kis khushi ki rait par ghamo ki neend aa gai
wo lehr kis taraf gai ye min kahan sama gaya

gae dino ki lash par parey raho gey kab talak
alam kasho uthho key aftaab sar pe aa gaya

(Nasir Kazmi)

daur e falak jab dohrata hai mosam e gul ki raton ko

kunj e qafas mein sun lete hen bhuli bisri baton ko

daur e falak jab dohrata hai mosam e gul ki raton ko
kunj e qafas mein sun lete hein bhuli bisri baton ko

reg e ravan ki narm tahon ko cherti hai jab koi hawa
sooney sehra cheekh utthey hein adhi adhi raton ko

atishe e gham ke sail e rawan mein ninden jal kar raakh huiin
pathar ban kar dekh raha hun aati jati raton ko

mai khane ka afsurda mahol to yun hi rahna hai
khushk labon ki khair manao kuch na kaho barsaton ko

Nasir mere munh ki baten yun to sachche moti hein
lekin un ki baten sun kar bhul gaey sab baton ko

(Nasir Kazmi)

Tuesday, January 14, 2014

asar kare na karey sun tou ley meri faryad

nahi hai daad ka taalib ye band e azad

asar kare na kare sun tou le meri faryad
nahi hai daad ka talib ye banda e azad

ye musht khak ye sar sar ye wusat aflak
karm hai ya ke sitam teri lazzat ijaad

thehr saka na hawa e chaman mein khaima e gul
yehi hai fasl bahari yehi hai bad murad

qusoorwar gharib udyar hun lekin
tera kharab farishtey na kar sakey abaad

meri jafa talabi ko dua'en deta hai
wo dasht sada wo tera jahan be bunyad

khatar pasand tabiat ko sazgar nahi
wo gulistan ke jahan ghaat mein na ho sayyad

maqam shoq terey qudsyon ke bas ka nahin
inhi ka kam hai ye jin key hosley hein zyad

(Allama Iqbal)

aflaak se ataa hai nalon ka jawab aakhir

karte hein khitab aakhir uthtey hein hijab akhir

aflaak se aata hai nalo'n ka jawab akhir
karte hien khitab akhir uthtey hein hijab akhir

ahwal mohabbat mein kuch farq nahin aisa
soz o tab o taab awwal soz o tab o tab akhir

mein tujh ko batata hun taqdir e umam kya hai
shamshir o sana awwal taoos o rabab akhir

mai khana e europe key dastoor niraley hein
latey hein suroor awwal ditey hein sharab akhir

kya dabdab e Nadir kya shoukat e Taimoori
ho jatey hein sab daftar gharq mee'ey naab akhir

khalwat ki gharri guzri jalwat ki gharri aeeee
chhatney ko hai bijli sey aaghosh sahaab aakhir

tha zabt boht mushkil es sail ma'aani ka
keh daley qalandar ney israar kitaab aakhir

(Allama Iqbal)

Sunday, January 12, 2014

aaraish khayal bhi ho dil kusha bhi ho

wo dard ab kahan jisey jee chahta bhi ho

aaraish khayal bhi ho dil kusha bhi ho
wo dard ab kahan jise jee chahta bhi ho

ye kya ke roz ek sa gham ek see ummeed
es ranj by khumar ki ab inteha bhi ho

ye kya ke ek toor se guzrey tamam umr
jee chahta hai ab koi tere siwa bhi ho

tootey kabhi tou khwab shab o roz ka tilism
itney hujoom mein koi chehra naya bhi ho

deewangi e shoq ko ye dhun hai en dino
ghar bhi ho aur be dar o deewar sa bhi ho

juzw dil koi makan nahi deher mein jahan
rahzan ka khof bhi na rahe dar khula bhi ho

har zarra ek mohmal ibrat hai dasht ka
lekin kisey dikhaon koi dekhta bhi ho

har shae pularti hai pas parda e sukoot
lekin kisey sunaon koi ham nawa bhi ho

fursat mein sun shaguftagi e ghuncha ki sada
ye wo sukhan nahi jo kisi ney kahan bhi ho

betha hai ek shakhs merey pas der sey
koi bhala sa ho tou hame dekhta bhi ho

bazm e sukhan bhi ho sukhan garm key ley
taaoos bolta ho tou jangle hara bhi ho

(Nasir Kazmi)

aaj tuu be sabab udas hai G

ishq hota tou koi baat bhi thi

aaj tuu be sabab udas hai G
ishq hota tou koi baat bhi thi

jalta phirta hun mein dopehron mein
janey kya cheez kho gai meri

wahin phirta hun mien bhi khak basar
es bharey shehr mein hai ek gali

chupta phirta hai ishq dunya sey
phailti ja rahi hai ruswai

ham nashin kya kahun ke wo kya hai
chorr ye baat neend urney lagi

aaj tou wo bhi kuch khamosh sa tha
mein ney bhi uss sey koi baat na ki

ek dam es ka hath chorr dya
janey kya baat darmyan aai

tou jo itna udaas ha Nasir
tujhe kya ho gaya bata tou sahi

apni dhun mein rehta hun

mein bhi tere jaisa hun

apni dhun mein rehta hun
mein bhi tere jaisa hun

O pichli rut key sathi
ab key baras mein tanha hun

terei gali mein sara din
dukh key kankar chunta hun

mujh sey aankh milaey kon
mein tera aaeena hun

mera diya jalaey kon
mein tera khali kamra hun

terey siwa mujhe pehne kon
mein tere tan ka kapra hun

tuu jeevan ki bhari gali
mein jangle ka rasta hun

aati rut mujhe roey gi
jati rut ka jhonka hun

apni lehr hai apna rog
darya hun aur pyasa hun

(Nasir Kazmi)

ishq mein jeet hui yaa maat

aaj ki raat na chairhh ye baat

ishq me jeet hui ya maat
aaj ki raat na chairhh ye baat

yun aaya wo jan e bahar
jaise jag mein pheley baat

rang khuley sehraa ki dhoop
zulf ghaney jangle ki raat

kuch na kaha aur kuch na suna
dil mein reh gai dil ki baat

yaar ki nagri koson door
kaise katey gi bhari raat

basti walo se chup kar
ro lete hein pichli raat

sannaton mein suntey hein
suni sunaai koi baat

phir jarey ki rut aai
chota din aur lambi raat

(Nasir Kazmi)

justuju khoey huo'on ki

chand key hamrah ham har shab safar karte rahe

justuju khoey huo'on ki umr bhar karte rahe
chand key hamrah ham har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha na ham ko simton ki khabar
shehr-e-na maloom ki chahat magar karte rahe

ham ney khud sey bhi chupaya aur sarey shehr ko
terey janey ki khabar deewar o dar karte rahe

wo na aaey ga hamey maloom tha uss sham bhi
intzaar uss ka magar kuch soch kar karte rahe

aaj ayaa hai hame bhi unn urano ka khayal
jin ko terey zo'am men be baal o par karte rahe

(Perveen Shakir)

Monday, January 6, 2014

yehi nahi koi toofan meri talash mein hai

ke mosam gham e jana meri talash me hai

yehi nahi koi toofan meri talash mein hai
ke mosam gham janaa meri talash mein hai

wisaal rut hai magar dil ko aisa lagta hai
sitara e shab hijraan meri talash mein hai

mein faisley ki gharri sey guzar chuki hun magar
kisi ka deeda e hairaan meri talash mein hai

ye bey yaqeen si aasoodgi batati hai
ke ek qarya e veeran meri talash mein hai

mein teergi mein mohabbat ki ek kahani hun
mooi charagh sa unwaan meri talash mein hai

ye kaisa khwab tha dharka sa lag gaya dil ko
ke ek shakhs pareshan meri talash mein hai

(Noshi Gilani)

bohat tareek sehraa ho gaya hai

hawa ka shor gehra ho gaya hai

bohat tareek sehraa ho gaya hai
hawa ka shor gehra ho gaya hai

kisi key lams ka ye mo'ojaza hai
badan sara sunehra ho gaya hai

ye dil dekhun ke jis key chaar janib
teri yaadon ka pehraa ho gaya hai

wohi hai khal o khad mein roshni see
pe til ankho ka gehraa ho gaya hai

kabhi es shakhs ko dekha hai tum ney
mohabbat sey sunehra ho gaya hai

(Noshi Gilani)

kon bhanwar mein mallahon sey ab takrar kare ga

ab tou qismat sey hi koi darya par kare ga

kon bhanwar mien mallahon sey ab takraar kare ga
ab tou qismat sey hi koi darya par kare ga

sara shehr hi tareeki par yun khamosh raha tou
kon charagh jalaney key paida aasaar kare ga

jab es ka kirdaar tumhare sach ki zad meN aaya
likhney wala shehr ki kaali har deewar kare ga

jane kon see dhun mein tere shehr mein aa nikley hein
dil tujh sey milney ki khwahish ab so baar kare ga

dil mien tera qayam tha lekin ab ye kisey khabar thi
dukh bhi apney honey par itna israar kare gaa

(Noshi Gilani)

ye hooryan farangi dil o nazar ka hijaab

bahisht maghrabiyan jalwa e ha'ey paa barakaab

ye hooryan farangi dil o nazar ka hijaab
bahish maghrabiyan jalwa e ha'ae paa barakaab

dil o nazar ka safeena sanbhal kar le ja
meh wa sitara hein bahr wujood mein girdaab

jahan sot o sada me sama nahi sakta
lateefa e azli hai fughan chang o rabaab

sikha dey hein esey shaiwa haae khanqahi
faqeeh shehr ko sufi ney kar dya hai kharab

wo sajda rooh zamin jis sey kaanp jati thi
isi ko aaj tarastey hein manbar o mehraab

suni na misr o falasteen mein wo azaan mein ne
dya tha jis ny paharon ko re'esha seemaab

hawaae qartaba shayad ye hai asar tera
meri nawa mein hai soz o suroor ehd e shabab

یہ حوریان فرنگی دل و نظر کا حجاب
بہشت مغربیاں جلوہ ہائے پا برکاب

دل ہ نظر کا سفینہ سنبھال کر لے جا
مہ و ستارہ ہیں بحر وجود میں گرداب

جہان صوت و صدا میں سما نہیں سکتی
لطیفہٴ ازلی ہے فغان چنگ و رباب

سکھا دیے ہیں اسے شیوہ ہائے خانقہی
فقیہ شہر کو صوفی نے کر دیا ہے خراب

وہ سجدہ روح زمیں جس سے کانپ جاتیتھی
اسی کو اآج ترستے ہیں منبر و محراب

سنی نہ مصر و فلسطین میں وہ اذاں میں نے
دیا تھا جس نے پہاڑوں کو رعشہٴ سیماب

ہوائے قرطبہ شاید یہ ہے اثر تیرا
مری نوا میں ہے سوز و سرور عہد شباب

Friday, January 3, 2014

sama sakta nahin pehnaey fitrat mein mera soda

ghalat tha aey junoon shayad tera andaza e sehra

sama sakta nahin pehnaey fitrat mein mera soda
ghalat tha aey junoon shayad tera andaz e sehra

khudi se es tlism rang o buu ko torr saktey hen
yehi toheed thi jis ko na tuu samjha na mein samjha

nigah paida kar aey ghafil tajalli a'ain fitrat hai
ke apni moj sey begana reh sakta nahi darya

raqabat ilm o irfan mein ghalat beeni hai manbar ki
ke wo hallaj  ki sooli ko samjha hai raqeeb apna

khuda key pak bandon ko hukoomat mein ghulami mein
zara koi agar mehfooz rakhti hai tou istighnaa

na kr taqleed aey Jibreel merey jazb o masti ki
tan aasaan arshyon ko zikr o tasbeeh wa tawaf uoolaa

bohat dekhey hein mein ney mashriq o maghrib key mai khaney
yahan saqi nahi paida wahan bey zoq hai sehbaa

na iran mein rahe baqi na turaan mein rahe baaqi
wo bandey faqr tha jin ka halak Qaiser o Kisra