Sunday, January 12, 2014

aaraish khayal bhi ho dil kusha bhi ho

wo dard ab kahan jisey jee chahta bhi ho

aaraish khayal bhi ho dil kusha bhi ho
wo dard ab kahan jise jee chahta bhi ho

ye kya ke roz ek sa gham ek see ummeed
es ranj by khumar ki ab inteha bhi ho

ye kya ke ek toor se guzrey tamam umr
jee chahta hai ab koi tere siwa bhi ho

tootey kabhi tou khwab shab o roz ka tilism
itney hujoom mein koi chehra naya bhi ho

deewangi e shoq ko ye dhun hai en dino
ghar bhi ho aur be dar o deewar sa bhi ho

juzw dil koi makan nahi deher mein jahan
rahzan ka khof bhi na rahe dar khula bhi ho

har zarra ek mohmal ibrat hai dasht ka
lekin kisey dikhaon koi dekhta bhi ho

har shae pularti hai pas parda e sukoot
lekin kisey sunaon koi ham nawa bhi ho

fursat mein sun shaguftagi e ghuncha ki sada
ye wo sukhan nahi jo kisi ney kahan bhi ho

betha hai ek shakhs merey pas der sey
koi bhala sa ho tou hame dekhta bhi ho

bazm e sukhan bhi ho sukhan garm key ley
taaoos bolta ho tou jangle hara bhi ho

(Nasir Kazmi)

No comments:

Post a Comment