Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts
Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts

Tuesday, January 14, 2014

asar kare na karey sun tou ley meri faryad

nahi hai daad ka taalib ye band e azad

asar kare na kare sun tou le meri faryad
nahi hai daad ka talib ye banda e azad

ye musht khak ye sar sar ye wusat aflak
karm hai ya ke sitam teri lazzat ijaad

thehr saka na hawa e chaman mein khaima e gul
yehi hai fasl bahari yehi hai bad murad

qusoorwar gharib udyar hun lekin
tera kharab farishtey na kar sakey abaad

meri jafa talabi ko dua'en deta hai
wo dasht sada wo tera jahan be bunyad

khatar pasand tabiat ko sazgar nahi
wo gulistan ke jahan ghaat mein na ho sayyad

maqam shoq terey qudsyon ke bas ka nahin
inhi ka kam hai ye jin key hosley hein zyad

(Allama Iqbal)

aflaak se ataa hai nalon ka jawab aakhir

karte hein khitab aakhir uthtey hein hijab akhir

aflaak se aata hai nalo'n ka jawab akhir
karte hien khitab akhir uthtey hein hijab akhir

ahwal mohabbat mein kuch farq nahin aisa
soz o tab o taab awwal soz o tab o tab akhir

mein tujh ko batata hun taqdir e umam kya hai
shamshir o sana awwal taoos o rabab akhir

mai khana e europe key dastoor niraley hein
latey hein suroor awwal ditey hein sharab akhir

kya dabdab e Nadir kya shoukat e Taimoori
ho jatey hein sab daftar gharq mee'ey naab akhir

khalwat ki gharri guzri jalwat ki gharri aeeee
chhatney ko hai bijli sey aaghosh sahaab aakhir

tha zabt boht mushkil es sail ma'aani ka
keh daley qalandar ney israar kitaab aakhir

(Allama Iqbal)

Monday, January 6, 2014

ye hooryan farangi dil o nazar ka hijaab

bahisht maghrabiyan jalwa e ha'ey paa barakaab

ye hooryan farangi dil o nazar ka hijaab
bahish maghrabiyan jalwa e ha'ae paa barakaab

dil o nazar ka safeena sanbhal kar le ja
meh wa sitara hein bahr wujood mein girdaab

jahan sot o sada me sama nahi sakta
lateefa e azli hai fughan chang o rabaab

sikha dey hein esey shaiwa haae khanqahi
faqeeh shehr ko sufi ney kar dya hai kharab

wo sajda rooh zamin jis sey kaanp jati thi
isi ko aaj tarastey hein manbar o mehraab

suni na misr o falasteen mein wo azaan mein ne
dya tha jis ny paharon ko re'esha seemaab

hawaae qartaba shayad ye hai asar tera
meri nawa mein hai soz o suroor ehd e shabab

یہ حوریان فرنگی دل و نظر کا حجاب
بہشت مغربیاں جلوہ ہائے پا برکاب

دل ہ نظر کا سفینہ سنبھال کر لے جا
مہ و ستارہ ہیں بحر وجود میں گرداب

جہان صوت و صدا میں سما نہیں سکتی
لطیفہٴ ازلی ہے فغان چنگ و رباب

سکھا دیے ہیں اسے شیوہ ہائے خانقہی
فقیہ شہر کو صوفی نے کر دیا ہے خراب

وہ سجدہ روح زمیں جس سے کانپ جاتیتھی
اسی کو اآج ترستے ہیں منبر و محراب

سنی نہ مصر و فلسطین میں وہ اذاں میں نے
دیا تھا جس نے پہاڑوں کو رعشہٴ سیماب

ہوائے قرطبہ شاید یہ ہے اثر تیرا
مری نوا میں ہے سوز و سرور عہد شباب

Friday, January 3, 2014

sama sakta nahin pehnaey fitrat mein mera soda

ghalat tha aey junoon shayad tera andaza e sehra

sama sakta nahin pehnaey fitrat mein mera soda
ghalat tha aey junoon shayad tera andaz e sehra

khudi se es tlism rang o buu ko torr saktey hen
yehi toheed thi jis ko na tuu samjha na mein samjha

nigah paida kar aey ghafil tajalli a'ain fitrat hai
ke apni moj sey begana reh sakta nahi darya

raqabat ilm o irfan mein ghalat beeni hai manbar ki
ke wo hallaj  ki sooli ko samjha hai raqeeb apna

khuda key pak bandon ko hukoomat mein ghulami mein
zara koi agar mehfooz rakhti hai tou istighnaa

na kr taqleed aey Jibreel merey jazb o masti ki
tan aasaan arshyon ko zikr o tasbeeh wa tawaf uoolaa

bohat dekhey hein mein ney mashriq o maghrib key mai khaney
yahan saqi nahi paida wahan bey zoq hai sehbaa

na iran mein rahe baqi na turaan mein rahe baaqi
wo bandey faqr tha jin ka halak Qaiser o Kisra

Tuesday, December 31, 2013

ameen e raaz hai mardaan e hurr ki darveshi

 

ki jibra'eel se hai uss ko nisbat e khaveshi

ameen e raaz hai mardaan e hurr ki darveshi
ki jibra'eel se hai uss ko nisbat e khveshi

kise khabar ke safeeney dubo chuki kitne
faqih o sufii o shaair ki naakhush andeshi

nigaah e garm ki sheron ke jis se hosh urr jaein
na aah e sard ki hai gosfandi o meshi

tabib e ishq ne dekhaa mujhe to farmaya
teraa maraz hai faqat arzoo ki be nishi

vo shai kuchh aur hai kahte hein jaan e paak jise
ye rang o nam ye lahuu aab o naa ki hai beshi

mujhe fikr e jahan kyu ho jahan tera hai yaa mera

 

agar kaj-rao hein anjum asmaan tera hai yaa mera

agar kaj-rao hein anjum asmaan tera hai yaa mera
mujhe fikr e jahan kyu ho jahan tera hai yaa mera

agar hangama haae shauq se hai laa makan khali
khataa kis ki hai yaa rab laa makan tera hai yaa mera

usey subh e azal inkaar ki jurat hui kyun kar
mujhe maloom kyaa vo raazdaan tera hai yaa mera

mohammad bhi tera jibreel bhi qur'aan bhi tera
magar ye harf e sheerin tarjuman tera hai yaa mera

isi kaukab ki taabaani se hai tera jahan roshan
zawaal e aadam e khaaki ziyaan tera hai yaa mera

karte hein khitaab aakhir uthey hein hijaab aakhir

 

aflaak se ataa hai nalon kaa javaab akhir

aflaak se ataa hai nalon kaa javaab akhir
karte hein khitaab akhir uthey hein hijaab aakhir

ahvaal e mohabbat mein kuchh farq nahi aisa
soz o tab o taab avval soz o tab o taab akhir

mein tujh ko bataata hun taqdir e umam kyaa hai
shamshir o sinaa avval taa'oos o rabaab akhir

mai khaana e europe ke dastoor niraley hein
laatey hein suroor awwal detey hein sharaab akhir

kyaa dabdaba e naadir kyaa shaukat e taimoori
ho jaatey hein sab daftar gharq e mai e naab aakhir

khalwat ki ghadii guzri jalvat ki ghadii aai
chhutney ko hai bijli se aaghosh e sahaab aakhir

thaa zabt bohat mushkil is sail e ma'aani kaa
keh daaley qalandar ne asraar e kitaab aakhir

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ki mein

 

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ke mein

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ke mein
vo jo nazar se hai nihaan uss kaa jahan hai tuu ke mein

vo shab e dard o soz o gham kehte hein zindagi jise
uss ki sahar hai tuu ke mein uss ki azaan hai tuu ke mein

kis ki numood ke liye shaam o sahar hein garm e sair
shaana e rozgaar par baar e giraan hai tuu ke mein

tuu kaf e khaak o be basar mein kaf e khaak o khud nigar
kisht e vajood ke liye aab e ravaan hai tuu ke mein

Sunday, August 18, 2013

zaahir ki ankh se na tamasha kare koi

Ghazal (Iqbal)

zaahir ki ankh se na tamasha kare koi
ho dekhna tou deeda dil wa kare koi
mansoor ko hua lab goya payam-e-mot
ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi
ho deed ka jo shoq tou ankho ka band kar
hai dekhna yehi ke na dekha kare koi
me intaha-e-ishq hun tu inteha-e-husn
dekhey mujhey ke tujh ko tamasha kare koi
uzar afreen-e- jurm-e-mohabbat sey husn-e-dost
mehshar me uzar taza na kare koi
chupti nahi hai nigah-e-shoq hum nasheen
phir aur kis tarha inhen dekha kare koi
urr bethey kya samajh ke bhala toor per kaleem
taqat ho deed ki tou taqaza kare koi
nazarey ko ba junbish muzgan bhi haar hai
ba nargis ki ankh se tjhey dekha kare koi
khul jaen kya maze hen tamanna-e-shoq me
do char din me jo meri tamanna kare koi

Sunday, May 12, 2013

sitaro se agey jahan aur bhi hein


sitaron se agey jahan aur bhi hein
abhi ishq ke imtihan aur bhi hein

tahi zindagi se nahi ye fizaeyn
yahan sainkro karawan aur bhi hein

qanat na kar aalam-e-rango buu per
chaman aur bhi aashyan aur bhi hein

agar kho gaya ik nashaiman tou kya gham
maqamat-o-aaho faghan aur bhi hein

tuu shaheen hai parwaz hai kaam tera
tere samney aasman aur bhi hein

isi rozo shab me ulajh kr na reh ja
ke tere zamano makan aur bhi hein

gaey din ke tanha tha men anjuman mein
yahan ab mere razdaan aur bhi hein

 (Iqbal)

Thursday, May 9, 2013

fitrat ko khird ke rubaru kar


Fitrat ko khird ke rubaru kar
taskheer-e-maqam-e-rang o buu kar

tu apni khudi ko kho chuka hai
khoi hui shaey ki justuju kar

taron ki faza ha bekaranaa
tu bhi ye maqam-e-aarzoo kar

uryaan hein tere chaman ki hoorein
chaak-e-gull o lala ko rafu kar

be-zoq nahi agarcha fitrat
jo es se na ho saka, wo tuu kr !!

(Iqbal)



فطرت کو خرد کے روبرو کر
تسخیر مقام رانگ و بوکر

تو اپنی خودی کو کھو چکا ہے
کھوئی ہوئی شھاعے کی جستجو کر

تاروں کی فضا ہے بیکرانہ
تو بھی یہ مقام آرزو کر

عریاں ہیں ترے چمن کی حوریں
چاک گُل ولالہ کو رفو کر

بے ذوق نہیں اگرچہ فطرت
جو اس سے نہ ہو سکا، وہ تُو کرإإ

﴾اقبال﴿

Monday, May 6, 2013

laon wo tinkey kahin se aashyane ke lye

Ghazal
laon wo tinkey kahin se ashyaney ke lye
bijliyan betaab hon jin ko jalaney ke lye

waaey nakami, falak ney taak kar tora usey
me ne jis daali ko tarra ashyaney ke lye

ankh mil jati ha haftad wa do millat sey teri
ek paymana tera sarey zamaney ke lye

dil me koi es tarah ki awaz paida karun
laut jaey aasman mere mitaney ke lye

jama kar kharman tou pehle dana dana chun ke tuu
aahi nikle gi koi bijli jalaney ke lye

paas tha nakami-e-sayyad ka aye ham safeer
warna me aur urr ke aataa ek daney ke lye

es chaman men murgh-e-dil gaaey na azaadi ka geet
aahhh! ye gulshan nahi aisey taraney ke lye

(Iqbal, Baang-e-Dara)

Friday, April 5, 2013

Nishan yehi hai zmaney me zinda qomo ka

Nishan yehi hai zamaney me zinda qomo ka
ke subh o sham badalti hein in ki taqdiren
kamal-e-sidq o murawwat hai zindagi en ki
muaaf krti hai fitrat bhi en ki taqseerein
qalandarana adaein, sikandarana jalaal
ye ummatein hein jahan me barhana shamsheren
khudi se mard-e-khud agaah ka jamal o jalal
ke ye kitab hai, baqi tamam tafseerein
shikwa-e-Eid ka munkar nahi hun men likin
qubool-e-haq hein faqat mard-e-hurr ki takbeerein
hakeem meri nawaon ka raaz kya janey
waraey aql hein ehl-e-junoon ki tadbeeren
        (Iqbal, Armaghan-e-Hijaz)



ننشاں یہی ہے زمانے میں زندہ قوموں کا
کع صبح وشام بدلتی ہیں ان کی تقدیریں
کمالِ صدق ومروّت ہے زندگی ان کی
معاف کرتی ہے فطرت بھی ان کی تقصیریں
قلندرانہ ادائیں، سکندرانہ جلال
یہ اُمتیں ہیں جہاں میں برہنہ شمشیریں
خودی سے مردِخود آگاہ کا جمال وجلال
کہ یہ کتاب ہے، باقی تمام تفسیریں
شکوہِ عید کا منکر نہیں ہوں میں لیکن
قبولِ حق ہیں فقط مردِ حُر کی تکبیریں
حکیم میری نواؤں کا راز کیا جانے
ورائے عقل ہیں اہلِ جُنوں کی تدبیریں
﴿اقبال، ارمغانِ حجاز﴾

Tuesday, April 2, 2013

Kabhi aey nojawan muslim tadabbur bhi kiya tu ney


کبھی اے نوجواں مسلمإ تدبّر بھی کیا تو نے                       وہ کیا گردوں تھا تو جس کا ہے اک ٹوٹا ہوا تارا
تجھے اس قوم نے پالا ہے آغوشِ محبت میں                     کچل ڈالا تھا جس نے پاؤں میں تاجِ سرِ دارا
تمدّن آفریں خلّاقِ آئینِ جہاں داری                                   وہ صحرائے عرب یعنی شتربانوں کا گہوارا
سماں الفَقر فَخری کا رہا شانِ امارت میں                          ًبآب و رنگ وخال وخط چہ حاجت روئے زیباراً
گدائی میں بھی وہ اللہ والے تھے غیور اتنے                      کہ منعم کو گدا کے ڈر سے بخشش کا نہ تھا یارا
غرض میں کیا کہوں تجھ سے کہ وہ صحرا نشیں کیا تھے    جہاں گیروجہاں دار وجہاں بان و جہاں آرا
اگر چاہوں تو نقشہ کھینچ کر الفاظ میں رکھ دوں                مگر تیرے تخیّل سے فزوں تر ہے وہ نظارا
تجھے آبا سے اپنے کوئی نسبت ہو نہیں سکتی                  کہ تُو گفتار وہ کردار، تُو ثابت وہ سیارا
گنوا دی ہم نے جو اسلاف سے میراث پائی تھی                 ثریّا سے زمیں پر آسماں نے ہم کو دے مارا
حکومت کا تو کیا رونا کہ وہ اک عرضی شے تھی              نہیں دنیا کے آئینِ مسلّم سے کوئی چارا
مگر وہ علم کے موتی، کتابیں اپنے آبا کی                         جو دیکھیں ان کو یورپ میں تو دل ہوتا ہے سیپارا
غنی روزِ سیاہِ پیرِ کنعاں راتما شاکُن                                کہ نُورَ دیدہ از روشن کُند چشمِ زلیخارا
                                                          ﴿بانگِ درا﴾

Kabhi aey nojawan muslim! tadabbur bhi kiya too ney
wo kya gardoon tha tu jis ka hai ek toota hua tara
tujhe es qaum ny pala hai Aghosh-e-Muhabbt mein
kuchal dala tha jis ney paoon men taaj-e-sar-e-dara
tamaddun aafreen khallaq-e-aaeen-e- jahan dari
wo sehraey Arab yaani shutarabano ka gehwara
sama alfaqru mukhri ka raha shan-e-amarat men
"bab-w-khal-o-khat chay hajit rooey zebaara
gadaai men bhi wo Allah waley they ghayoor itney
ke mun'im ko gadaa ke dar sey bakhshish ka na tha yara
gharz men kya kahun tujh se ke wo sehra nashin kya they?
jahangeer-o-jahan dar wjahan ban o jahan aaraa
agar chaahoon tou naqsha khench kar alfaaz men rakh dun
magr tere takhayyal sey fuzoon tar hai wo nazaara
tujhey abaa sey apne koi nisbat ho nahi sakti
ke tu guftar wo kirdaar, tu saabit wo sayyara
ganwa di hum ney jo islaaf sey meerass paai thi
surayya sey zameen par aasmaa ney hum ko dey mara
hukumat ka tu kya rona ke wo ek aarzi shay thi
nahi dunya ke aaeen-e-musallam sey koi chaara
magar wo ilm ke moti, kitaben apne abaa ki
jo dekhen en ko europe men tou dil hota hai seepara
Ghani roz-e-siyah peer-e-kan'aan ratama shaa kun
ke noor-e- deeda ash roshan kund chashm-e-Zulaikha
(Baan-e-Dara)

Monday, April 1, 2013

Poetry of Iqbal


Alama Iqbal (Bale jibril)

نگاہِ فقر میں شانِ سکندری کیا ہے                        خراج کی جو گدا ہو وہ قیصری کیا ہے
بُتوں سے تجھ کو اُمیدیں خدا سے نومیدی               مجھے بتا تو سہی اور کافری کیا ہے
فلک نے اُن کو عطا کی ہے خواجگی کہ جنہیں       خبر نہیں روِشِ بندہ پروری کیا ہے
فقط نگاہ سے ہوتا ہے فیصلہ دل کا                        نہ ہو نگاہ میں شوخی تو دلبری کیا ہے
اسی خطا سے عتابِ ملوک ہے مجھ پر                  کہ جانتا ہوں مآلِ سکندری کیا ہے
کسے نہیں ہے تمنائے سروی لیکن                       خودی کی موت ہو جس میں وہ سروری کیا ہے
خوش آگئی ہے جہاں کو قلندری میری                   وگرنہ شعر مرا کیا ہے شاعری کیا ہے

Nigah-e-faqr men shan-e-sikandari kya hai
Khiraj ki jo gada ho wo qaisri kya hai

buton se tujh ko aumeedi Khuda se nau-meedi
mujhe bata tou sahi aur kafiri kya hai

Falak ne unko ataa ki ha khwajgi ke jinhen
Khabar nahi rawish-e-banda parwari kya hai

faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah me shokhi tou dilbari kya hai

isi khata se etaab-e-mulook hai mujh par
ke janta hun maal-e-sikandari kya hai

kise nahi hai tamanna-e-sarwari lekin
khudi ki mout ho jis men wo sarwari kya hai

khush aa gai jahan ko qalandri meri
wagarna sher mera kya hai shairi kya hai

Monday, March 18, 2013


انداز بیاں گرچہ بہت شوخ نہیں ہے
شاید کہ اُتر جائے ترے دل میں مری بات
یا وُسعت افلاک میں تکبیرِ مسلسل
یا خاک کے آغوش میں تسبیح ومناجات
وہ مذہبِ مردانِ خود آگاہ وخدا مست
یہ مذہبِ مُلا وجمادات ونباتات

Andaz-e-bayan garchey boht shokh nahi hai
Shayad ke utar jaey terey dil mein meri baat
ya wusat-e-aflaak mein takbir-e-musalsal
Ya khak ke Aghosh mein tasbih o manajaat
Wo mazhab-e-mardan-e- khud aagah o Khuda mast
Ye mazhab-e-mulla o jamadaat o nabataat

Tuesday, March 12, 2013


﴿بالِ جبریل﴾

پھر چراغِ لالہ سے روشن ہوئے کوہ دمن
مجھ کو پھر نغموں پہ اُکسانے لگا مرغِ چمن

پھول ہیں صحرا میں یا پریاں قطار اندر قطار
اُودے اُودے، نیلے نیلے، پیلے پیلے پیرہن

برگِ گُل پر رکھ گئی شبنم کا موتی بادِ صبح
اور چمکاتی ہے اس موتی کو سورج کی کرن

حُسن بے پروا کو اپنی بے نقابی کے لیے
ہوں اگر شہروں سے بن پیارے تو شہر اچھے کہ بَن

اپنے من میں ڈوب کر پاجا سراغِ زندگی
تو اگر میرا نہیں بنتا نہ بن، اپنا تو بن

من کی دنیاإ من کی دنیا سوزو مستی، جذب وشوق
تن کی دنیاإ تن کی دنیا سُودو سودا، مکروفن

من کی دولت ہاتھ آتی ہے تو پھر جاتی نہیں
تن کی دولت چھاؤں ہے آتا ہے دَھن جاتا ہے دَھن

من کی دنیا میں نہ پایا میں نے افرنگی کا راج
من کی دنیا میں نہ دیکھے میں نے شیخ وبرہمن

پانی پانی کر گئی مجھ کو قلندر کی یہ بات
تو جُھکا جب غیر کے آگے، نہ من تیرا نہ تن

Phir charagh-e-lala sey roshan huey koh-o-daman
mujh ko phir naGhmon pe uksaney laga murgh-e-chaman

phool hein sehra mein ya paryan qatar andar qatar
oodey oodey, neeley neeley,, peeley peeley pay'rehn

barg-e-gul per rakh gai shabnam ka moti bad-e-saba
aur chamkati hai es moti ko suraj ki kiran

husn-e-be parwah ko apni be-naqabi key liye
hon ager shehron sey bin pyarey tou sheher achey key ban

apney mann me doob kar paa jaa suragh-e-zindagi
tu agar mera nahi banta na ban, apna tou ban

man ki dunya! man ki dunya soz-o-masti jazb-o-shoq
tann ki dnia! tann ki dunya sood-o-soda, makr-o-fan

mann ki dolat hath aati hai tou phir jati nahi
tann ki dolat chaaon hai, aata ha dhan jata hai dhann

mann ki dunya me no paya me ney afrangi ka raaj
mann ki dunya me na dikhy me ney sheikh-o-barhaman

paani paani kar gai mujh ko qalandar ki ye baat
tu jhuka jab ghair key agey, no mann tera na tann

(Baal-e-Jibreel)

Friday, February 1, 2013

Poetry By Allama Iqbal

اے خدا اے خدا

Aye Khuda Aey Khuda


اے خدا اے خدا
جس نے کی جستجو، مل گیا اُس کو تو
سب کا تو راہنما، اے خدا اے خدا

یہ زمیں یہ فلک، ان سے آگے تلک
جتنی دنیا ہے،سب میں تیری جھلک

اے خدا اے خدا
جس نے کی جستجو، مل گیا اُس کو تو
سب کا تو راہنما، اے خدا اے خدا

ہر سحر پھوٹتی ہے نئے رنگ سے
سبزہ و گل کھلے سینئہ سنگ سے

اے خدا اے خدا
جس نے کی جستجو، مل گیا اُس کو تو
سب کا تو راہنما، اے خدا اے خدا

ہر ستارے میں، آباد ہے اک جہاں
چاند سورج تیری روشنی کے نشاں

اے خدا اے خدا
جس نے کی جستجو، مل گیا اُس کو تو
سب کا تو راہنما، اے خدا اے خدا


تو ابھی رہگزر میں ہے قید مقام سے گزر

 Tu Abhi Rahguzar Mein Hai, Qaid e Maqam Se Guzar

By Dr. Allama Mohammad Iqbal

تو ابھی رہگزر میں ہے قید مقام سے گزر
مصر وحجاز سے گزر، پارس وشام سے گزر

جس کا عمل ہے بے غرض اس کی جزا کچھ اور ہے
حور وخیام سے گزر، بادہ وجام سے گزر

گرچہ ہے دلکشا بہت حسن فرنگ کی بہار
طائرک بلند بال دانہ ودام سے گزر

کوہ شگاف تیری ضرب، تجھ سے کشادہ شرق وغرب
تیغ ہلال کی طرح عیش نیام سے گزر

تیرا امام بے حضور، تیری نماز بے سرور
ایسی نماز سے گزر، ایسے امام سے گزر