ko sehr sey noha giri rahi
wo ajeeb subh bahar thi
ke sehr sey noha giri rahi
meri bastyan theen dhuan dhuan
mery ghar mein aag bhari rahi
mery rastey they lahu lahu
mera qarya qarya fagar tha
ye kaf e hwa pe zamin thi
wo falak ke musht e ghubar tha
kai abshar sey jism they
ko jo qatra qatra pighar gaey
kai khush jamal tlism they
jinhen gird bad nigal gaey
koi khwab nok sana pe tha
koi arzu tah e sang thi
koi phool abla abla
koi shakh marqad rang thi
kai lapata meri la'batin
jo kisi taraf ki na ho sakin
jo na aney walo key sath theen
jo na janey walo ko ro saken
kahin tarsaz sey kat gai
kisi matraba ki rag gulu
mae atisheen mein wo zehr tha
ke trkh gaey qadah wa saboo
koi nay nawaz tha dam bkhud
ke nafs sey hiddat jan gai
koi sar ba zano tha ba'rubd
ke sada e dost kahan gai
kahin naghmagi mein wo bane they
ke sama'aton ney suney nahi
kahin goonjtey they wo marsiye
ke Anees ne bhi kahe nahi
ye jo sang rezon ke dher hein
yahan motiyon ki dukan thi
ye jo saebaan dhuwen ke hien
yahan badalon ki uraan thi
jahan roshni hai khandar khandar
yahan qumqumon sey jawan they
jahan chyutian huin khaima zan
yahan jugnu'oon key makan they
kahin abgeena khayal ka
ke jo karb zabt sey choor tha
kahin aeena kisi yaad ka
ke jo aks yaar sey door tha
mery bismilon ki qana'atein
jo barhaein zulm key hosley
mery abu'oon ka chakeeda khoon
jo shikaryon ko suragh dey
meri adal gahon ki maslehat
mery qatilon ki wakeel hai
mery khanqahon ki manzilat
meri buzdili ki daleel hai
mery ahl e harf o sukhn sara
jo gadagaro me badal gaey
mery ham safeer they heela juu
kisi aur simt nikal gaey
kai fakhtaon ki chaal mein
mujhe kargason ka chalan laga
kai chaand bhi they syah ruu
kai soorajon ko gehen laga
koi tajir hasab o nasb
koi deen farosh qadeem hai
yahan kafash bar bhi imam hen
yahan naat khwan bhi kaleem hai
koi fikr mand kulah ka
koi daawa dar quba ka hai
wohi ehl dil bhi hein zeb e tan
jo libas ahl e raya ka hai
mery pasban, mery naqab zan
mera mulk milk yateen hai
mera dais meer sipah ka
mera sheher mal e ghaneem hai
jo rawish hai sahib e takht ki
so msahibon ka tareeq hai
yahan kotwal bhi duzd shab
yahan sheikh deen bhi fareeq hai
yahan sab key nirkh juda juda
esey mol lo esey tol do
jo talab kare koi khoon baha
tuu dahan khazaney key khol do
wo jo sarkashi ka ho mutakab
esey qumchyon sey zuboon karo
jahan khalq shehr ho mushtail
esey golyon sy nigoon karo
magar aisey aisey ghani bhi they
esi qehet zar damishq mein
jinhen kuey yaar aziz tha
jo kharey they maqtal ishq mein
koi bankpan mein tha koh kan
tuu junoon mein Qais sa tha koi
jo surahiyan lye jism ki
mae naab khoon sey bhari hui
they sada balb ke pyo pyo
ye sabeel ahl wafa ki hai
ye nasheed nosh e badan karo
ye kasheed tak e wafa ki hai
koi tashna lab hi na tha yahan
jo pukarta ke idher udher
sabhi muft bar they tamasha hein
koi bazm mein koi baam par
sabhi be hisi key khumaar mein
sabhi apney haal mein mast they
sabhi rahrawan e rah e adam
magar apney zo'om mein bast they
so lahu k jaam undel kar
mery janfarosh chale gaey
wo sukoot tha sar mae kada
ke wo kham badosh chaley gaey
koi mahbason mein rasan ba pa
koi maqtalon mein dareeda tan
na kisi key haath mein shakh ney
na kisi ky lab pe gul sukhun
isi arsa shab taar mein
yunhi ek umr guzar gai
kabhi roz wasl bhi dekhtey
ye jo arzoo thi wo mar gai
yahan roz hashar bapa hue
pe koi bhi roz jaza nahi
yahan zindagi bhi azaab hai
yahan mot bhi shafa nahi
Now this is a poem by Faraz called shahar nama. Every time I read this poem I find them poem depicts human misery, pain, mockery and romanticism. Amongst many poems if Faraz like "Mohsara" the words of the poem are highly Persianised. Reading in Urdu script is a must. Anyway, thank you for posting. In the web, this is the only place where this poem can be found. I read it in Faraz kuliyate intikhab.
ReplyDeletethanks... for your valuable comments!
ReplyDeleteThank you so much.
ReplyDelete