Showing posts with label wasi shah. Show all posts
Showing posts with label wasi shah. Show all posts

Sunday, August 11, 2013

me hun tera khayal hai aur chand raat hai

me hun tera khayal hai aur chand raat hai


me hun tera khayal hai aur chand raat hai
dil dard se nidhal hai aur chand raat hai

ankho me chubh gaeen teri yadon ki kirchyan
kandho pe gham ki shal hai aur chand raat hai

dil torr ke khamosh nazaron ka kya mila?
shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai

campus ki neher per hai tera hath, hath me
mosam bhi lazawal hai aur chand raat hai

har ek kali ne orrh lya matami libaas
har phool pur malal hai aur chand raat hai

chalka sa parr raha hai Wasi wehshato ka rang
har cheez per zawaal hai aur chand raat hai

(Wasi Shah)

Thursday, June 13, 2013

aaj yun mosam ne di jashn mohabbat ki khabar

aaj yun mosam ne di jashn mohabbat ki khabar

aaj yun mosam ne di jashn mohabbat ki khabar
phoot kar roney lagey hein mein, mohabbat aur tum

ham ne jun hi kar liya mehsoos manzil hai qareeb
rastey khoney lagey hein mein, mohabbat aur tum

chaand ki kirno ney ham ko es tarha bosa diya
dewta honey lagey hein mein, mohabbat aur tum

aaj phir mehrumyon ki dastaney orrh kar
khak me soney lagey hein mein, mohabbat aur tum

kho gaey andaz bhi, awaz bhi, alfaz bhi
khamshi dhoney lagey hien mein, mohabbat aur tum

(Wasi Shah)


Wednesday, May 22, 2013

teri har baat sey anjan bhi ho sakta hai

teri har baat sey anjan bhi ho sakta hai

teri har baat sey anjan bhi ho sakta hai
dil-e-wehshi, dile-e-nadan bhi ho sakta hai

ham jahan beth ke taron se teri baat karein
wo kisi jism ka dalan bhi ho sakta hai

ye jo ek bherya jangal me hua krta hai
kal isi bhais me insan bhi ho sakta hai

ain mumkin hai jisey dil ke bajaey thamu
ab kisi shokh ka daman bhi ho sakta hai

titlyan nochney ka jurm kya hai jis ney
wo merey sheher ka sultan bhi ho sakta hai

aaj dil me teri yadon ke dye jaltey hein
kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai

jo tujhey aur kisi ka nahi honey deta
ye mery ishq ka eeqaan bhi ho sakta

ye jo ek shakhs tujhe dekh ke roshan hai bohat
bujh bhi sakta hai ye weeran bhi ho sakta hai

(Wasi Shah)


 تیری ہر بات سے انجان بھی ہو سکتا ہے
دل وحشی، دل نادان بھی ہو سکتا ہے

ہم جہاں بیٹھ کے تاروں سے تری بات کریں
وہ کسی جسم کا دالان بھی ہو سکتا ہے

یہ جو عک بھیڑیا جنگل میں ہوا کرتا ہے
کل اسی بھیس میں انسان بھی ہو سکتا ہے

عین ممکن ہے جسے دل کے بجائے تھاموں
اب کسی شوخ کا دامان بھی ہو سکتا ہے

تتلیاں نوچنے کا جرم کیا ہے جس نے
وہ مرے شہر کا سلطان بھی ہو سکتا ہے

آج دل میں تری یادوں کے دیے جلتے ہیں
کل یہی راستہ سنسان بھی ہو سکتا ہے

جو تجھے اور کسی کا نہیں ہونے دیتا
یہ مرے عشق کا ایقان بھی ہو سکتا ہے

یہ جو اک شخص تجھے دیکھ کے روشن ہے بہت
بجھ بھی سکتا ہے یہ ویران بھی ہو سکتا ہے

﴾وصی شاہ﴿

bandh lein hath pe seeney pe saja lein tum ko

bandh lein hath pe seeney pe saja lein tum ko

 bandh lein hath pe seeney pe saja lein tum ko
jee me ata hai ke taweez bana lein tum ko

phir tumhen roz sanwarein tumhein barhta dekhein
kyun na angan me chambeli sa laga lein tum ko

kabhi khwabo ki tarha ankh ke pardey me raho
kabhi khwahish ki tarha dil me bula lein tum ko

jis tarha raat ke seeney me hai mehtaab ka noor
apney tareek makano me saja lein tum ko

kya ajab khwahishen uthti hien hmarey dil me
kar ke munna sa hawaon me saja lein tum ko

es qadar toot ke tum pe hume pyar ata hai
apni bahon me bharein mar hi dalein tum ko

(Wasi Shah)

باندھ لیں ہاتھ پہ سینے پہ سجا لیں تم کو
جی میں آتا ہے کہ تعویذ بنا لیں تمکو

پھر تمہیں روز سنواریں تمہیں بڑھتا دیکھیں
کیوں نہ آنگن میں چھنبیلی سا لگا لیں تمکو

کبھی خوابوں کی طرح آنکھ کے پردے میں رہو
کبھی خواہش کی طرح دل میں بلا لیں تم کو

جس طرح رات کے سینے میں ہے مہتاب کا نور
اپنے تاریک مکانوں میں سجا لیں تم کو

کیا عجب خواہشیں اٹھتی ہیں ہمارے دل میں
کر کے منا سا ہواؤں میں اچھالیں تم کو

اس قدر ٹوٹ کے تم پہ ہمیں پیار آتا ہے
اپنی باہوں میں بھریں مار ہی ڈالیں تم کو

﴾وصی شاہ﴿