Showing posts with label Daagh Dehelvi. Show all posts
Showing posts with label Daagh Dehelvi. Show all posts

Monday, August 25, 2014

baqi jahan me qais na farhad reh gaya

afsana ashiqon ka faqat yad reh gaya

baqi jahan men qais na farhad reh gaya
afasana ashiqon ka faqat yad reh gaya
ye sakht-jan to qatl se nashad reh gaya
khanjar chala to baazu e jallad reh gaya
pabandiyon ne ishq ki bekas rakha mujhe
main sou asiriyon men bhi azaad reh gaya
chashm e sanam ne yun to bigare hazar ghar
ik kaba chand roz to abad reh gaya
mahshar men ja e shikwa kiya shukr yar ka
jo bhulana tha mujh ko wohi yad reh gaya
un ki to ban pari ki lagi jan muft hath
teri girah men kya dil e nashad reh gaya
pur noor ho rahega ye zulmat kada agar
dil men buton ka shauq e khuda dad reh gaya
yun ankh un ki kar ke ishara palat gai
goya ke lab se ho ke  kuch irshad reh gaya
naseh ka ji chla tha hamari tarha magar
ulfat ki dekh dekh ke uftad reh gaya
hen tere dil men sab ke thikaney burey bhaley
men khanaman kharab hi barbad reh gaya
wo din gaey ke thi mere seeney men kuch kharash
ab dil kahan hai dil ka nishan yad reh gaya
soorat ko terei dekh ke khinchti hai jan khalq
dil apna tham tham key bozad reh gaya
aey Daagh dil hi dil men ghuley zabt ishq sey
afsos shoq nala o faryad reh gaya

Thursday, August 21, 2014

ajab apnaa haal hota jo visal e yaar hota

kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota

ajab apna haal hota jo visaal e yaar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ya qayamat na phir ashkar hota
tere dil pe kash zalim mujhe ikhtyaar hota
jo tumari tarha tum se koi jhute wade karta
tumhin munsifi se keh do tumhen e'tibaar hota
gham e ishq men maza tha jo usey samajh ke khatey
ye wo zehr hai ke aakhir mai e khush gawaar hota
ye maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti
na tujhey qarar hota na mujhe qarar hota
ye maza hai dushmani men na hai lutf dosti men
koi ghair ghair hota koi yar yar hota
tere wadey per sitamgar abhi aur sabr kartey
agar apni zindagi ka hamey e'tibar hota
ye wo dard e dil nahi ha ke ho charasaz koi
agar ek bar mit'taa to hazar baar hota
gaey hosh terey zahid jo wo chashm e mast dekhi
mujhe kya ulat na detey jo na bada khwar hotaa
mujhey mantey sab aisa ke aduu bhi sajdey kartey
dar e yar ka'ba banta jo mera mazar hota
tumhen naz ho na kyunkar ke liya hai 'Dagh' ka dil
ye raqam na hath lagti na ye iftikhar hota

(Daagh Dehelvi)

aap ka eit'baar kon kare

roz ka intizaar kaun karey

aap ka eit'baar kaun karey
roz ka intezaar kaun karey
zikr e mehr o wafa to ham karte
phir tumhen sharmsar kaun kare
ho jo us chashm e mast se be khud
phir usey hoshyaar kaun karey
tum to ho jaan ek zamaney kii
jaan tum par nisaar kaun karey
aafaat e rozgaar jab tum ho
shikwa e rozgaar kaun karey
apni tasbih rehney de zaahid
daana danaa shumar kaun karey
hijr men zehr kha key mar jaa'un
mout ka intizaar kaun karey
ankh hai tark e zulf ha sayyaad
dekhen dil ka shikar kaun kare
vada karte nahin ye kehte hein
tujh ko umeedwaar kaun karey
'Dagh' ki shakal dekh kar boley
aisi soorat ko pyaar kaun karey

khat mein likhey huey ranjish key kalam aatey hein

kis qayamat key ye namey, mery naam atey hein

khat mein likhey huey ranjish key kalam atey heinkis qayamat key ye namey.merey naam atey heintaab-e-nazara kisey dekhey jo in key jalweybijliyan kondti hein, jab lab-e-baam atey heintuu sahi hashar mein tujh sey jo na ye kehwa duundost wo hotey hein jo waqt pe kaam atey heinrehber o rah e mohabbat ka khuda haafiz haies men do chaar bohat sakht maqaam atey heinwo dara hun key samjhta hun ye dhoka tou na hoabb wahan sey jo mohabbat key payam atey hensabar karta hai kabhi aur tarapta hai kabhidil e nakaam ko apney yehi kaam atey heinna kisi shakhs ki izzat na kisi ki toqeeraashiq aatey hein tumharey. ke ghulam atey heinrasm e tehrir bhi mit jaey, yehi matlab haiun ke khat mein mujhey ghairon key salam atey henwasl ki raat guzar jaey na by lutfi meinke mujhy neend key jhonkey sar e shaam atey heinDaagh ki tarha sey gul hotey hen sadqey qurbanbaher gul gasht e chaman mein jo nizaam atey hein

(Daagh Dehelvi)