Tuesday, January 28, 2014

chalo safak zulmat key badan ka ek tukra tou kata

aur waqt ki be intehai key samandar mein

chalo saffak zulmat key badan ka ek tukra tou kata
aur waqt ki be intehai ke samandar mein
koi taboot girney ki sada ayee

ye mana raat ankhon mei kati
ek ek pal but sa ban kar jam gaya
ek saans tou ek sadi key baad phir sey saans lene ka khayal ayaa
ye sab sach hai ko raat ek karb be payan thi
lekin karb hi tkhleeq hai
aey pou phatey key dil ruba lamho gawahi do

yun hi kat'ti chali jaein gi ratin
aur phir wo aftaab ubhrey ga
jo apni shuaoon sey abad ko roshni bakhshey ga
phir koi andheri dharti ko na chuu paey ga
dana yan mazhab key mutabiq hashar aa jaey ga
lekin hashar bhi ek karb hai
har karb ek takhleeq hai
aye pou phatey ke dil ruba lamho gawahi do

(Ahmad Nadeem Qasmi)

No comments:

Post a Comment