Sunday, January 12, 2014

apni dhun mein rehta hun

mein bhi tere jaisa hun

apni dhun mein rehta hun
mein bhi tere jaisa hun

O pichli rut key sathi
ab key baras mein tanha hun

terei gali mein sara din
dukh key kankar chunta hun

mujh sey aankh milaey kon
mein tera aaeena hun

mera diya jalaey kon
mein tera khali kamra hun

terey siwa mujhe pehne kon
mein tere tan ka kapra hun

tuu jeevan ki bhari gali
mein jangle ka rasta hun

aati rut mujhe roey gi
jati rut ka jhonka hun

apni lehr hai apna rog
darya hun aur pyasa hun

(Nasir Kazmi)

No comments:

Post a Comment