Tuesday, January 28, 2014

rait sey butt na bana aey mere achey fankar

ek lamhe ko theher mein tujhey pathar laa dun

rait sy butt na bana aye mere achey fankaar
ek lamhe ko theher mein tujhey pathar laa dun
mein terey samny anbaar laga dun lekin
kon sey rang ka pathar terey kaam aey ga
surkh pathar jisey dil kehti hai be-dil dunya
ya wo patharaai hui ankh ka neela pathar
jis mein sadyon key tahayyar ke parey hon doorey
kya tujhey rooh ke pathar ki zarurat ho gi
jis pe haq baat bhi pathar ki tarha girti hai
ek wo pathar hai jo kehlata hai tehzeeb sufaid
es key mar mar mein syah khoon jhalak jata hai
ek insaaf ka pathar bhi tou hota hai magar
haath mein taisha-e- zar ho tou wo haath aataa hai
jitney meyaar hein es dor key sab pathar hein
 jitni aqdaar hein es dor ki sab pathar hein
sabza o gul bhi hawa aur faza bhi pathar
mera ilhaam tera zehen rasa bhi pathar 
es zamaney mein tou har fan ka nishan pathar hai
haath pathar hein terey meri zuban pathar hai
rait sey butt na bana ay mere achey fankaar

(Ahmad Nadeem Qasmi)


No comments:

Post a Comment