Thursday, August 21, 2014

ajab apnaa haal hota jo visal e yaar hota

kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota

ajab apna haal hota jo visaal e yaar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ya qayamat na phir ashkar hota
tere dil pe kash zalim mujhe ikhtyaar hota
jo tumari tarha tum se koi jhute wade karta
tumhin munsifi se keh do tumhen e'tibaar hota
gham e ishq men maza tha jo usey samajh ke khatey
ye wo zehr hai ke aakhir mai e khush gawaar hota
ye maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti
na tujhey qarar hota na mujhe qarar hota
ye maza hai dushmani men na hai lutf dosti men
koi ghair ghair hota koi yar yar hota
tere wadey per sitamgar abhi aur sabr kartey
agar apni zindagi ka hamey e'tibar hota
ye wo dard e dil nahi ha ke ho charasaz koi
agar ek bar mit'taa to hazar baar hota
gaey hosh terey zahid jo wo chashm e mast dekhi
mujhe kya ulat na detey jo na bada khwar hotaa
mujhey mantey sab aisa ke aduu bhi sajdey kartey
dar e yar ka'ba banta jo mera mazar hota
tumhen naz ho na kyunkar ke liya hai 'Dagh' ka dil
ye raqam na hath lagti na ye iftikhar hota

(Daagh Dehelvi)

No comments:

Post a Comment