Sunday, January 12, 2014

justuju khoey huo'on ki

chand key hamrah ham har shab safar karte rahe

justuju khoey huo'on ki umr bhar karte rahe
chand key hamrah ham har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha na ham ko simton ki khabar
shehr-e-na maloom ki chahat magar karte rahe

ham ney khud sey bhi chupaya aur sarey shehr ko
terey janey ki khabar deewar o dar karte rahe

wo na aaey ga hamey maloom tha uss sham bhi
intzaar uss ka magar kuch soch kar karte rahe

aaj ayaa hai hame bhi unn urano ka khayal
jin ko terey zo'am men be baal o par karte rahe

(Perveen Shakir)

No comments:

Post a Comment