Thursday, November 27, 2014

hai justuju ke khoob sey hai khoob tar kahan

ab theherti hai dekhye ja kar nazar kahan

hai justuju ke khoob se hai khoob tar kahan
ab theherti hai dekhye ja kar nazar kahan
hein dor jaam awal shab mein khudi sey door
hoti hai aaj dekhye ham ko sahar kahan
ya rab es ikhtalat ka anjam ho bakhair
tha es ko hum sey rabt magar es qadar kahan
ek umr chahye ke gawara ho naish ishq
rakhi hai aaj lazzat zakham jigar kahan
bas ho chuka bayan kasl o ranj raah ka
khat ka mere jawab hai aye nama bar kahan
kon o makan sey hai dil e wehshi kinara geer
as khanama kharab ney dhoonda hai ghar kahan

(Altaf Hussain Hali)

No comments:

Post a Comment