Sunday, May 20, 2018

wo dil hi kya terey milney ki jo duaa na kare

me tujh ko bhool ke zinda rahoon khudaa na karey

Wo dil hi kya terey milney ki jo duaa na kare
Me tujh ko bhool ke zinda rahoon khudaa na kare
rahe ga saath tera pyaar zindagi ban kar
ye aur baat meri zindagi wafa na kare
ye theek ha nahi marta koi judai me
khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Suna ha usko mohabbat duaaein deti hai
Jo dil pe chot tou khaey magar gila na kare
Agar wafa pe bharosa rahe na dunya ko
Tou koi shakhs mohabbat ka hosla na kare
Bujha diya ha naseebon ne merey pyaar ka chand
Koi diya meri palkon pe abb jala na karey
zamana dekh chuka hai parakh chuka ha esey
Qateel jaan se jaey per iltijaa na karey


(Qateel Shifai)


Angrai per Angrai leti hai raat judaai ki

Angrai per Angrai leti hai raat judaai ki

Tm kya samjho tm kya jano baat meri tanhaai ki

Kon syahi ghol raha tha waqt ke behtey daryaa mein
mein ney aankh jhuki dekhi ha aaj kisi harjaai ki
Toot gaey sayaal nageeney, phoot bahey rukhsaaron per
dekho mera saath na dena baat hai ye ruswaai ki
wasl ki raat na janey kyun israar tha en ko jaaney per
waqt se pehle doob gaye taaron ney bari danaai ki
urtey urtey aas ka panchi door ufaq me doob gaya
rotey rotey beth gai awaaz kisi sodaai ki

(Qateel Shifai)