Monday, August 25, 2014

baqi jahan me qais na farhad reh gaya

afsana ashiqon ka faqat yad reh gaya

baqi jahan men qais na farhad reh gaya
afasana ashiqon ka faqat yad reh gaya
ye sakht-jan to qatl se nashad reh gaya
khanjar chala to baazu e jallad reh gaya
pabandiyon ne ishq ki bekas rakha mujhe
main sou asiriyon men bhi azaad reh gaya
chashm e sanam ne yun to bigare hazar ghar
ik kaba chand roz to abad reh gaya
mahshar men ja e shikwa kiya shukr yar ka
jo bhulana tha mujh ko wohi yad reh gaya
un ki to ban pari ki lagi jan muft hath
teri girah men kya dil e nashad reh gaya
pur noor ho rahega ye zulmat kada agar
dil men buton ka shauq e khuda dad reh gaya
yun ankh un ki kar ke ishara palat gai
goya ke lab se ho ke  kuch irshad reh gaya
naseh ka ji chla tha hamari tarha magar
ulfat ki dekh dekh ke uftad reh gaya
hen tere dil men sab ke thikaney burey bhaley
men khanaman kharab hi barbad reh gaya
wo din gaey ke thi mere seeney men kuch kharash
ab dil kahan hai dil ka nishan yad reh gaya
soorat ko terei dekh ke khinchti hai jan khalq
dil apna tham tham key bozad reh gaya
aey Daagh dil hi dil men ghuley zabt ishq sey
afsos shoq nala o faryad reh gaya

No comments:

Post a Comment