Monday, January 6, 2014

yehi nahi koi toofan meri talash mein hai

ke mosam gham e jana meri talash me hai

yehi nahi koi toofan meri talash mein hai
ke mosam gham janaa meri talash mein hai

wisaal rut hai magar dil ko aisa lagta hai
sitara e shab hijraan meri talash mein hai

mein faisley ki gharri sey guzar chuki hun magar
kisi ka deeda e hairaan meri talash mein hai

ye bey yaqeen si aasoodgi batati hai
ke ek qarya e veeran meri talash mein hai

mein teergi mein mohabbat ki ek kahani hun
mooi charagh sa unwaan meri talash mein hai

ye kaisa khwab tha dharka sa lag gaya dil ko
ke ek shakhs pareshan meri talash mein hai

(Noshi Gilani)

No comments:

Post a Comment