Thursday, March 27, 2014

guftugu achi lagi zoq e nazar acha laga

muddaton ke baad koi hum safar acha laga

guftugu achi lagi zoq e nazar acha laga
muddaton key baad koi hamsafar acha laga

dil ka dukh jana tou dil ka masla hai per hame
es ka hans dena hamarey haal per acha laga

har tarha ki be saro samaniyon ke bawajood
aaj wo aaya tou mujh ko apna ghar acha laga

baghban gulcheen ko chahey jo kahe ham ko tou phool
shaakh se barh kar kafe dildar per acha laga

koi maqtal men na pohncha kon zalim tha jisey
tegh e qatil sey zyada apna sar acha laga

ham bhi qail hein wafa mein estwari ke magar
koi puchey kon kis ko umr bhar acha laga

(Ahmed Faraz)