Wednesday, January 22, 2014

dayar e dil ki rat mein charagh sa jala gaya

mila nahin tou kya hua wo shakal tou dikha gaya

dayar e dil ki rat mein charagh sa jala gaya
mila nahin tou kya hua wo shakal tou dikha gaya

wo dosti tou khair ab naseeb dushmana huii
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chalaa gaya

judayon key zakham dard zindagi ney bhar dye
tujhey bhi neend aa gai mujhe bhi sabar aa gaya

pukarti hein fursatein kahan gaiiin wo sohbatein
zamin nigal gai inhien ke aasman kha gayaa

ye subha ki sfaidyan ye dopeher ki zardyan
ab aiiney mein dekhta hun mein kahan chala gaya

ye kis khushi ki rait par ghamo ki neend aa gai
wo lehr kis taraf gai ye min kahan sama gaya

gae dino ki lash par parey raho gey kab talak
alam kasho uthho key aftaab sar pe aa gaya

(Nasir Kazmi)

No comments:

Post a Comment