kunj e qafas mein sun lete hen bhuli bisri baton ko
daur e falak jab dohrata hai mosam e gul ki raton ko
kunj e qafas mein sun lete hein bhuli bisri baton ko
reg e ravan ki narm tahon ko cherti hai jab koi hawa
sooney sehra cheekh utthey hein adhi adhi raton ko
atishe e gham ke sail e rawan mein ninden jal kar raakh huiin
pathar ban kar dekh raha hun aati jati raton ko
mai khane ka afsurda mahol to yun hi rahna hai
khushk labon ki khair manao kuch na kaho barsaton ko
Nasir mere munh ki baten yun to sachche moti hein
lekin un ki baten sun kar bhul gaey sab baton ko
No comments:
Post a Comment