Wednesday, September 28, 2016

HAM TOU KHUSH THEY KE CHALO DIL KA JUNOON KUCH KAM HAI

Hum tou khush they ke chalo dil ka junoon kuch kam hai

ab jo araam bohat hai tou sukoon kuch kam hai

Hum tou khush they ke chalo dil ka junoon kuch kam hai

ab jo araam bohat hai tou sukoon kuch kam hai
rang e girya ney dikhai nahim agli see bahar
ab ke lagta hai ke amezish e khoon kuch kam hai
ab tera hijr musalsal hai tou ye bhed khula
gham e dil se gham e dunya ka fusoon kuch kam hai
us ney dukh saarey zamaney ka mujhe bakhsh diya
phir bhi lalach ka taqaza hai kahun kuch kam hai
raah e dunya sey nahin dil ki guzargah sey aa
fasla garchey ziyada hai pe yun kuch kam hai
tuu ney dekha hi nahi mujh ko bhaley waqton me
ye kharabi ke mein jis haal me hun kuch kam hai