Showing posts with label perveen shakir. Show all posts
Showing posts with label perveen shakir. Show all posts

Monday, July 7, 2014

kya karey meri masihaai bhi kareny wala


zakham hi ye mujhe lagta nahin bharney walaa

kya kare meri masihai bhi karney wala
zakhm hi ye mujhe lagta nahin bharne wala
zindagi se kisi samjhaotey ke baawasf ab tak
yaad ata hai koi marney marney wala
uss ko bhi hum tere kuchey mein guzar aey hein
zindagi mein wo jo lamha tha sanwarney wala
uss ka andaz-e-sukhan sb se juda tha shayad
baat lagti hui lehja wo mukarney wala
shaam honey ko hai aur aankh men ek khwab nahin
koi es ghar men nahin roushni karney wala
dastaras mein heinanasir ke irade kis key
so bikhar ke hi raha koi bikharney wala
isi umeed pe har sham bujhaey hein charagh
ek taara hai sar e baam ubharney wala

Sunday, January 12, 2014

justuju khoey huo'on ki

chand key hamrah ham har shab safar karte rahe

justuju khoey huo'on ki umr bhar karte rahe
chand key hamrah ham har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha na ham ko simton ki khabar
shehr-e-na maloom ki chahat magar karte rahe

ham ney khud sey bhi chupaya aur sarey shehr ko
terey janey ki khabar deewar o dar karte rahe

wo na aaey ga hamey maloom tha uss sham bhi
intzaar uss ka magar kuch soch kar karte rahe

aaj ayaa hai hame bhi unn urano ka khayal
jin ko terey zo'am men be baal o par karte rahe

(Perveen Shakir)

Monday, November 25, 2013

thak gaya hai dil e vahshi mera faryad se bhi


thak gaya hai dil e vehshi mera faryad se bhi

thak gaya hai dil vehshi mera faryad se bhi
ji bahaltaa nahi aey dost teri yaad se bhi

aii hava kyaa hai jo ab nazm e chaman aur huaa
said se bhi hein marasim tere sayyad se bhi

kyun sarakti hui lagti hai zamin yaan har dam
kabhi puchen to sabab shahr ki bunyad se bhi

barq thi yaa ki sharaar e dil e aashufta thaa
koi puche to mere aashiyaan barbad se bhi

barhti jaati hai kashish vaada gah e hasti ki
aur koi khinch raha hai adam abaad se bhi

(Perveen Shakir)

wo majburi nahi thi ye adakaari nahi hai

 

wo majburi nahi thi ye adakari nahi hai

wo majburi nahi thi ye adakaar nahi hai
magar dono taraf pehli si sarshaari nahi hai

bahaney se usey bas dekh anaa pal do pal ko
ye fard-jurm hai aur aankh inkari nahi hai

mein teri sard mohri se zara bad dil nahi hun
mere dushman tera ye vaar bhi kari nahi hai

mein uss ke qaul par imaan laa kr khauf men hun
kahin lehje men to zalim ke ayyaari nahi hai

(Perveen Shaki)

Sunday, November 24, 2013

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi

Perveen Shakir

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi
dil ko khushi ke saath sath hota raha malal bhi

baat wo adhi raat ki, raat wo poorey chand ki
chand bhi aa'in chayt ka uss pr tera jamal bhi

sab sey nazar bacha key wo mujh ko kuch aisey dekhta
ek dafa tou ruk gai gardish mah o saal bhi

dil tou chamak sakey ga kya phir bhi tarash key dekh len
sheesha garan e shehr ke haath ka ye kamal bhi

uss ko na pa sakey thy jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat ke dekhye baat thi kuch muhaal bhi

meri talab tha ek shakhs wo jo nahin mila tou phir
hath dua sey yun gira bhool gaya sawal bhi

uss ki sukhun tara zyaan mery lye bhi dhaal theen
uss ki hansi me chup gaya apne ghamon ka haal bhi

gaao qareeb e shah e rag' gah e baeed wehem o khwab
uss ki rafaqaton me raat' hijr bhi tha wisaal bhi

uss key hi bazu'oon me aur uss ko hi sochtey rahey
jism ki khwahishon pe thy rooh key aur jaal bhi

shaam ki na samajh hawa puch rahi hai ek pata
moj e hawaey kuey e yaar' kar kuch tou mera khyal bhi


apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

Perveen Shakir

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur me kya kya dekhun
neend aa jaey tou kya mehfilen barpa dekhun
ankh khul jaey tou tanhai ka sehra dekhun
sham bhi ho gai dhundla gaeen ankhen meri
bhooleny waley me kab tak tera rasta dekhun
sab ziden es ki me poori karun har baat sunuu
ek bachey ki tarha sey esey hansta dekhun
mujh pe chha jaey jo barsaat ki khushbu ki tarha
ang ang apna isi rutt me mehkta dekhun
tuu meri tarha sey yakta hai magr mery habib
ji me ataa hai koi aur bhi tujh sa dekhun
me ney jis lamhey ko pooja hai esey bas ek baar
khwab ban kr teri ankho me utarta dekhun
tuu mera kuch nahi lagta hai magr jan e hayat
janey kyun tere lye dil ko dharakta dekhun


mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den gey

Perveen Shakir beautiful ghazal

mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den ge

mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den ge
lafz mery, mery honey ki gawahi den gey

log tharra gaey jis waqt manadi aai
aaj peghaam naya zill e ilahi den gey

jhonkey kuch aisey thapaktey hen gulon key rukhsar
jaisey es baar tou pat jharr sey bacha hi den gey

ham wo shab zad ke sooraj ki inayat me bhi
apney baccho ko faqat kor nigahi den gey

aasteen sanpon ki pehney gey galey me mala
ehl e koofa ko nai shehr pana hi den gey

shehr ki chabyan aa'daa ke hawaley kr ke
tohfatan phir inhen  maqtool subahi den gey


Thursday, May 9, 2013

waqt-e-rukhsat aa gaya, dil phir bhi ghabraya nahi



waqt-e-rukhsat aa gaya, dil phir bhi ghabraya nahi
es ko hum kya khoen gey jis ko kabhi paya nahi

zindagi jitni bhi ha ab mustaqil sehraa me hai
aur es sehraa me tera door tak saya nahi

meri qismat me faqat dard tahey saghar hi hai
awwal shab jaam meri simt wo laya nahi

teri ankhon ka bhi kuch halka gulabi rang tha
zehen ne mere bhi ab ke dil ko samjhaya nahi

kaan bhi khali hein mere aur dono haath bhi
ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phool pehnaya nahi

(Perveen Shakir)


Sunday, May 5, 2013

ankhon ne kaise khwab tarashey hein in dino

Ghazal

ankhon ne kaise khwab tarashey hein in dino
dil per ajeeb rang utertey hein in dino

rakh apne pas apney ma o meher aye falak
hum khud kisi ki ankh ke tarey hein in dino

dast-e-sahar ney mang nikali ha barhaa
aur shab ne aa ke baal sanwarey hein in dino

es ishq ney hamey hi nahi mu'tadil kiya
es ki bhi khush mizaji ke charchey hein in dino

ek khushgawar neend pe haq ban gaya mera
wo rut jagey es ankh ney katey hien in dino

wo qeht-e-husn hai ke sabhi khush jamal log
lagta ha koh-o-qaf pe rehte hien in dino

(Perveen Shakir)

pehle bhi ye dil hijr se be haal hua ha

pehle bhi ye dil hijr se be haal hua ha
pehle bhi bicharne ki saza pai ha uss ne
rukhsat ki aziyyat me jo shiddat hai, sahi ha
ayaa ha boht yad kisi chashm ka jaadoo
khud se bohat aai kisi malboos ki khushboo
khencha ha boht qalb ko guzre hue kal ne
din bhar kabhi doori ne zuboon haal rakha ha
rukhsat ki ghari theher gai rooh me jaise
es baar jo aya ha magr, hijr ka mosam
es me dil beemar ki wehshat hi alag ha
mitti se judai ki hikayat hi alag ha
kuch der ki takheer jo hoti hai watan se
lagta ha ke ab jan nikal jae gi tan sey!
(perveen shakir)



Ghazal

sula raha tha nai bedaar kar saka tha mujhe
wo jaise khawab me mehsoos kar raha tha mujhe

yehi that chand aur es ko gawah thehraa kr
zara sa yaad tou kar tu ne kya kaha tha mujhe

tamam raat meri khwab gaah roshan thi
kisi ne khwab me ek phool de dya tha mujhe

wo din bhi aye ke khushboo se meri aankh khuli
aur ek rang haqeeqat me chhoo raha tha mujhe

me apni khaak pe kaise na lout kar aatee
bohat qareeb se koi pukarta tha mujhe

daroon-e- khaima hi mera qayaam rehna tha
tu meer-e-fouj ne lashkar me kyun liya tha mujhe
(perveen shakir)

Thursday, May 2, 2013

patjhar se gila ha na shikayat hawa se hai

Patjhar se gila ha, na shikayat hawa se hai
phoolon ko kuch ajeeb muhabbat hawa se hai

sarshari, shaguftagi gull ko hai kya khabar
mansoob ek aur hikayat hawa se hai

rakha hai andhyon ne hi, hum ko kasheeda sar
ham wo charagh hein jinhein nisbat hawa se hai

uss ghar me tairgi ke siwa kya rahe, jahan
dil shamma per hein, aur iradat hawa se hai

bas koi cheez ha, ke sulagti ha dil ke paas
ye aag wo nahi, jise sohbat hawa se hai

sar sar ko azzan ho jo saba ko nahi hai bar
ganj qafas men zeest ki soorat hawa se hai

gulcheen ko hi kharaam-e-saba se nahi hai khar
ab ke tuu baghban ko adawat hawa se hai

khushboo hi rang bharti hai tasweer bagh men
bazm-e-khabar men, gul ki siyadat hawa se hai

dast-e-shajar me rakhey, ke aa kr bakhair dey
aaeene-e-gull me khas reya'at hawa se hai

ab ke bahar dekheye, kya gull khilaey gi
dil dadgan-e-rang ko, wehshat hawa se hai
(Perveen Shakir)




پت جھڑ سے گلہ ہے، نہ شکایت ہوا سے ہے
پھولوں کو کچھ عجیب محبت ہوا سے ہے

سرشاریِ شگفتگیِ گل کو ہے کیا خبر
منسوب ایک اور حکایت ہوا سے ہے

رکھا ہے اندھیوں نے ہی، ہم کو کشیدہ سر
ہم وہ چراغ ہیں جنہیں نسبت ہوا سے ہے

اس گھر میں تیرگی کے سوا کیا رہے، جہاں
دل شمع پر ہیں، اور ارادت ہوا سے ہے

بس کوئی چیز ہے، کہ سلگتی ہے دل کے پاس
یہ آگ وہ نہیں، جسے صحبت ہوا سے ہے

صرصر کو اذن ہو جو صبا کو نہیں ہے بار
گنج قفس میں زیست کی صورت ہوا سے ہے

گلچیں کو ہی خرامِ صبا سے نہیں ہے خار
اب کے تو باغباں کو عداوت ہوا سے ہے

خوشبو ہی رنگ بھرتی ہے تصویر باغ میں
بزمِ خبر میں، گل کی سیادت ہوا سے ہے

دستِ شجر میں رکھے، کہ آکر بکھیر دے
آئینِ گل میں خاص رعایت ہوا سے ہے

اب کے بہار دیکھیے، کیا گل کھلائے گی
دل دادگانِ رنگ کو، وحشت ہوا سے ہے۔
﴾پروین شاکر﴿


khuli ankhon mein sapna jhankta hai



Khuli ankhon me sapna jhankta hai
wo soya hai ke kuch kuch jagta hai

teri chahat ke bheegey jangalo mein
mera tann, morr ban ke nachta hai

mujhe har kaifiyat mein kyun na samjhey
wo mere sab hawaley jantaa hai

mein uss ki dastaras me hun, magar wo
mujhe meri raza se mangta hai

kisi ke dhyaan me dooba hua dil
bahaney se mujhe bhi taltaa hai

sarak ko chorr kar chalna parey ga
ke merey ghar ka kaccha rastaa hai

(Perveen Shakir)

کھلی آنکھوں میں سپنا جھانکتا ہے
وہ سویا ہے کہ کچھ کچھ جاگتا ہے

تری چاہت کے بھیگے جنگلوں میں
مرا تن، مور بن کر ناچتا ہے

مجھے ہر کیفیت میں کیوں نہ سمجھے
وہ میرے سب حوالے جانتا ہے

میں اس کی دسترس میں ہوں، مگر وہ
مجھے میری رضا سے مانگتا ہے

کسی کے دھیان میں ڈوبا ہوا دل
بہانے سے مجھے بھی ٹالتا ہے

سڑک کو چھوڑ کر چلنا پڑے گا
کہ میرے گھر کا کچا راستہ ہے

﴾پروین شاکر﴿