Tuesday, September 16, 2014

gaey dino ka suragh le kr kidhar se aya kidher gaya wo

ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

gae dino ka suragh le kar kidhr se aya kidhr gaya wo
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
bas ek moti si chhab dikha kar bas ek mithi see dhun suna kar
sitara e sham ban ke aya ba rang e khwab e sahar gaya wo
khushi ki rut ho ke gham ka mausam nazar usey dhundti hai har dam
wo buu e gul thaa ki naghma e jan mere to dil men utar gaya wo
na ab wo yadon ka charhta darya na fursaton ki udas barkha
yunhi zara see kasak hai dil men jo zakham gahra tha bhar gaya wo
kuch ab sambhalney lagi hai jaan bhi badal chala daur e asman bhi
jo raat bhaari thi tal gai ha jo din kara tha guzar gaya wo
bas ek manzil hai bul hawas ki hazaar raste ein ahl e dil ke
yahin tou hai farq mujh mein us men guzar gaya main thahar gaya wo
shikasta paa raah mein khara hun gae dino ko bula raha hun
jo qaafila mera hum safar tha misal e gar e safar gaya wo
mera tuu khun ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bhigi
jo nala utha tha raat dil se na jane kyun be asar gaya wo
wo maikadey ko jaganey wala wo rat ki neend uraney wala
ye aaj kya uss ke jee mein aai ke sham hote hi ghar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitara wo ham nafas ham sukhan hamara
sada rahe uss ka naam pyara suna hai kal rat mar gaya wo
wo jis ke shane pe hath rakh kar safar kiya tuu ne manzilon ka
teri gali se na janey kyun aaj sar jhukaey guzar gaya wo
wo rat ka be nawa musafir wo tera shair wo tera Naasir
teri gali tak to ham ne dekha tha phir na janey kidhar gaya wo

No comments:

Post a Comment