Qissa e gham kehte kehte hum kahan tak aa gaey
in ki palkon per sitarey apney honton per hansi
Qissa e gham kehte kehte hum kahan tak aa gaey
apni apni justuju hai apna apna shoq hai
tum hansi tak bhi na pohnchey hum fughan tak aa gaey
zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na tha
aap kis ki aarzu mein gulistan tak aa gaey
rafta rafta rang laya jazb e khamoshi e ishq
wo taghaful karte karte imtihan tak aa gaey
khud tumhen chaak e giribaan ka shaoor aa jaey gaa
tum wahan tak aa tou jao, hum jahan tak aa gaey
aaj qabil mae kadeymein inqalab aaney ko hai
ahl dil andesha e sood o zyaan tak aa gaey
No comments:
Post a Comment