Saturday, August 24, 2013

laazim tha ke dekho mera rasta koi din aur

Mirza Ghalib Ki Ghazal

tanha gaey kyun, ab raho tanha koi din aur

Laazim tha ke dekho mera rasta koi din aur
tanha gaey kyun, ab raho tanha koi din aur

mitt jaey ga sar, gar tera pathar na ghisey ga
hun dar pe tery nasia farsa koi din aur

aey ho kal, aur aaj oi kehtey ho ke jaon
mana ke hamesha nhin, acha, koi din aur

jatey huey kehte ho qayamat ko milen ge
kya khoob! qayamat ka hai goya koi din aur

haan aey falak peer, jawan tha abhi Arif
kya tera bigarta jo na marta koi din aur

tum maah-e-shabe char dahum they mery ghar ke
phr kyun na rahe ghar ka wo naqsha koi din aur

tum kon sey they aise kharey dad o sitad ke
karta mulk ul mot taqaza koi din aur

mujh sey tumhein nafrat sahi, Nayyar sey larai
bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur

guzri na, bahar haal, ye muddat khush wa nakhush
karna tha jawan marg! guzaara koi din aur

nadaan ho jo kehte ho ke kyun jeetey hein Ghalib
qismat me hai marney ki tamanna koi din aur

(Mirza Ghalib)

ye na thi hamari qismat ke wisaal-e-yaar hota

Beautiful Poetry by Mirza Ghalib

Ghazal

ye na thi hamari qismat ke wisaal-e-yaar hota

ye na thi hamari qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeetey rehte yehi intezaar hota

terey wadey per jiye hum, tou ye jaan, jhoot jana
ke khushi se mar na jatey agar aetebaar hota

teri nazuki se jana ke bandha tha ehd-e-booda
kabhi tu naa torr sakta,agar ustawaar hota

koi merey dil se puchey terey teer-e-neem kash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota

ye kahan ki dosti hai ke baney hen dost naseh
koi chara saaz hota, koi gham gusaar hota

rag-e-sang se tapakta wo lahu ke phir na thamta
jisey gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota

gham agarchey jaan gusal ha, pa bacheen kahan ke dil se
gham-e-ishq agar na hota, gham-e- rozgaar hota

kahun kis se me ke kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna, agar ek baar hota

huey mar ke ham jo ruswa, huey kyun na gharq-e-darya
na kabhi janaza uthtaa, na kahin mazaar hota

usey kon dekh sakta ke yagana hai wo yakta
jo doooi ki buu bhi hoti tou kahin do chaar hota

ye masaail-e-tasawwaf, ye tera bayan-e-Ghalib
tujhe ham Wali samajhtey jo na baada khwaar hota

Sunday, August 18, 2013

zaahir ki ankh se na tamasha kare koi

Ghazal (Iqbal)

zaahir ki ankh se na tamasha kare koi
ho dekhna tou deeda dil wa kare koi
mansoor ko hua lab goya payam-e-mot
ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi
ho deed ka jo shoq tou ankho ka band kar
hai dekhna yehi ke na dekha kare koi
me intaha-e-ishq hun tu inteha-e-husn
dekhey mujhey ke tujh ko tamasha kare koi
uzar afreen-e- jurm-e-mohabbat sey husn-e-dost
mehshar me uzar taza na kare koi
chupti nahi hai nigah-e-shoq hum nasheen
phir aur kis tarha inhen dekha kare koi
urr bethey kya samajh ke bhala toor per kaleem
taqat ho deed ki tou taqaza kare koi
nazarey ko ba junbish muzgan bhi haar hai
ba nargis ki ankh se tjhey dekha kare koi
khul jaen kya maze hen tamanna-e-shoq me
do char din me jo meri tamanna kare koi

Sunday, August 11, 2013

me hun tera khayal hai aur chand raat hai

me hun tera khayal hai aur chand raat hai


me hun tera khayal hai aur chand raat hai
dil dard se nidhal hai aur chand raat hai

ankho me chubh gaeen teri yadon ki kirchyan
kandho pe gham ki shal hai aur chand raat hai

dil torr ke khamosh nazaron ka kya mila?
shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai

campus ki neher per hai tera hath, hath me
mosam bhi lazawal hai aur chand raat hai

har ek kali ne orrh lya matami libaas
har phool pur malal hai aur chand raat hai

chalka sa parr raha hai Wasi wehshato ka rang
har cheez per zawaal hai aur chand raat hai

(Wasi Shah)