Tuesday, December 31, 2013

ab tou shehron se khabar aati hai deewano ki

koi pehchaan hi baaqi nahi veerano ki

ab to shehro se khabar aati hai deewano ki
koi pehchan hi baqi nahi veerano ki

apni poshak se hushyaar ki khuddam e qadeem
dhajjiyan mangte hein apne girebano ki

sanate phailti jati hein magar es ke saath
sarhaden toot'ti jati hein gulistano ki

dil mein wo zakhm khile hein ke chaman kyaa shai hai
ghar mein baarat si utrii hui gul-danon ki

un ko kya fikr ke main paar laga yaa dooba
behas karte rahe sahil pe jo toofano ki

teri rehmat to musallam hai magar ye to bataa
kaun bijli ko khabar deta hai kashano ki

maqbare bante hein zindon ke makano se buland
kis qadar auj pe takreem hai insano ki

ek ek yaad ke haatho pe charaghon bharey tasht
kaaba e dil ki fazaa hai ke sanam khano ki

ameen e raaz hai mardaan e hurr ki darveshi

 

ki jibra'eel se hai uss ko nisbat e khaveshi

ameen e raaz hai mardaan e hurr ki darveshi
ki jibra'eel se hai uss ko nisbat e khveshi

kise khabar ke safeeney dubo chuki kitne
faqih o sufii o shaair ki naakhush andeshi

nigaah e garm ki sheron ke jis se hosh urr jaein
na aah e sard ki hai gosfandi o meshi

tabib e ishq ne dekhaa mujhe to farmaya
teraa maraz hai faqat arzoo ki be nishi

vo shai kuchh aur hai kahte hein jaan e paak jise
ye rang o nam ye lahuu aab o naa ki hai beshi

mujhe fikr e jahan kyu ho jahan tera hai yaa mera

 

agar kaj-rao hein anjum asmaan tera hai yaa mera

agar kaj-rao hein anjum asmaan tera hai yaa mera
mujhe fikr e jahan kyu ho jahan tera hai yaa mera

agar hangama haae shauq se hai laa makan khali
khataa kis ki hai yaa rab laa makan tera hai yaa mera

usey subh e azal inkaar ki jurat hui kyun kar
mujhe maloom kyaa vo raazdaan tera hai yaa mera

mohammad bhi tera jibreel bhi qur'aan bhi tera
magar ye harf e sheerin tarjuman tera hai yaa mera

isi kaukab ki taabaani se hai tera jahan roshan
zawaal e aadam e khaaki ziyaan tera hai yaa mera

karte hein khitaab aakhir uthey hein hijaab aakhir

 

aflaak se ataa hai nalon kaa javaab akhir

aflaak se ataa hai nalon kaa javaab akhir
karte hein khitaab akhir uthey hein hijaab aakhir

ahvaal e mohabbat mein kuchh farq nahi aisa
soz o tab o taab avval soz o tab o taab akhir

mein tujh ko bataata hun taqdir e umam kyaa hai
shamshir o sinaa avval taa'oos o rabaab akhir

mai khaana e europe ke dastoor niraley hein
laatey hein suroor awwal detey hein sharaab akhir

kyaa dabdaba e naadir kyaa shaukat e taimoori
ho jaatey hein sab daftar gharq e mai e naab aakhir

khalwat ki ghadii guzri jalvat ki ghadii aai
chhutney ko hai bijli se aaghosh e sahaab aakhir

thaa zabt bohat mushkil is sail e ma'aani kaa
keh daaley qalandar ne asraar e kitaab aakhir

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ki mein

 

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ke mein

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ke mein
vo jo nazar se hai nihaan uss kaa jahan hai tuu ke mein

vo shab e dard o soz o gham kehte hein zindagi jise
uss ki sahar hai tuu ke mein uss ki azaan hai tuu ke mein

kis ki numood ke liye shaam o sahar hein garm e sair
shaana e rozgaar par baar e giraan hai tuu ke mein

tuu kaf e khaak o be basar mein kaf e khaak o khud nigar
kisht e vajood ke liye aab e ravaan hai tuu ke mein

har baras hi giran guzarte hein


Amjad Islam Amjad ki ek khoobsurat nazam

har baras hi giran guzarte hein

har baras hi giran guzarte hein
khwahisho ke nigar khaney mein
kaisey kaisey guman guzarte hein

raftagan key bikharte salon ki
ek mehfil si dil me sajti hai

phone ki diary ke safho se
kitney number pukarte hein mujhe
jin se marboot ha nawa ghanti
ab faqat mery dil me bajti hai

kis qadar pyarey pyarey namo per
reengti badnuma lakeerein si
meri ankhon me phail jati hein
dooryan dairey banati hein

dhyan ki sirhiyon me kya kya aks
mash'alein dard ki jalate hein
aisey kaghaz pe phail jatey hein

hadsey ke maqam per jaisey
khoon key sookhey nishano per
chaak ki laainey lagatey hein

har december ke akhri din mein
har baras ki tarha ab bhi

diary ek sawal karti hai
kya khabar es baras ke aakhir tak

merey in be charagh safhon sey
kitney hi naam kat gaey hon gey
kitney number bikhar ke raston me
gard mazi se att gaey hon gey

khaak ki dheryon ke daman mein
kitney toofan simat gaey hon gey

har December me sochta hun mein
ek din es tarha bhi hona hai
rang ko roshni me khona hai

apney apney gharon me rakhi hui
diary dost dekhtey hon gey

in ki ankhon key khakdano mein
ek sehra sa phailta ho ga
aur kuch be nishan safhon sey

naam mera bhi

katt gaya ho ga !!

Amjad Islam Amjad

 

Monday, December 23, 2013

mein dil pe jabr karun ga, tujhey bhula dun ga

Mein dil pe jabr karun ga

mein dil pe jabr karun ga, tujhey bhula dun ga
marun ga khud bhi tujhey bhi karri saza dun ga

ye teergi mery ghar ka hi kyun muqaddar ho?
mein terey shehr key sary dye bhuja dun ga

hawa ka hath bataon ga har tabahi mein
harey shajar se parindey mein khud ura dun ga

wafa karu ga kisi swgawar chehrey sey
purani qabar per katba naya saja dun ga

isi khayal mein guzri hai sham dard aksar
ke dard hadd se barhey ga tou muskura dun ga

tuu aasman ki surat hai, gir parey ga kabhi
zamin hun mein bhi magar tujh ko aasra dun ga

barha rahi hein merey dukh, nishanyan teri
mein tery khat, teri tasveer tak jala dun ga

 boht dino sey mera dil udaas hai Mohsin
es aainey ko koi aks ab naya dun ga

Thursday, December 19, 2013

uss shakhs ke lehjey mein sheeshey ki khanak hai

uss shakhs key lehjey mein sheeshey ki khanak hai

uss shakhs key lehjey mein sheeshey ki khanak hai
rag rag mein utarta hai, sharabon ki tarha hai

gumshuda mohabbt ke khwabon ki tarha hai
wo rooh key sehra mein sarabon ki tarha hai

wo zeest key maktab mein nisabon ki tarha hai
parhta hun usey roz, kitabon ki tarha hai

ab uss sey khayalon mei hi ho jati hein batein
Go beech mein parda hai, hijabon ki tarha hai

uss shakhs ke lehjey mein sheeshey ki khanak hai
rag rag mein utarta ha, sharabon ki tarha hai

uss shakhs ke paikar mein hai shakhon ki lachak si
uss shakhs ka chehra bhi...gulabon ki tarha hai

jo wasl ki raton mein hai ek mah e musalsal
furqat mein wohi shakhs, azabon ki tarha hai

Wednesday, December 18, 2013

saath tera agar kabhi na rahe

saath tera agar kabhi na rahe

sath tera agar kabhi na rahe
dil mein shayad kabhi khushi na rahe

lab kushai ki kuch ijazat dey
baat honton mein hi dabi na rahe

dosti sabar aazma na bana
ye na ho ham mein dosti na rahe

baat aisi no! kr ke apas mein
koi karney ko baat hi na rahe

zindagi es tarha sey talkh na kar
dil ko parwah jaan ki na rahe

kam hai auron ki bey rukhi ka malal
ab tou apno mein yar bhi na rahe

Tuesday, December 17, 2013

udaas raton mei, taiz coffee ki talkhion mei

 

wo kuch ziada hi yaad aata hai sardio mein

udaas raaton mei, taiz coffee ki talkhion mei
wo kuch ziada hi yaad aata hai sardio mei

mujhe ijazat nahi hai uss ko pukarney ki
jo goonjta hai lahoo mei, seeney ki dharkano mei

tum apni pouron se jaaney kia likh gaye they jana
charagh roshan hain ab bhi meri hatheliyon mei

jo tu nahi hai to ye mukammal na ho saken gi
teri yeh ehmiyat hai meri kahaniyon mei

har ek mousam roshni si bikhairty hein
tumhary gham ki charagh meri udasiyon mei

kabhi jo toot ke barsa December

 

Kabhi jo toot ke barsa December

Kabhi jo toot ke barsa December
Laga Apna Bohat Apna December

Guzar jata hai sara saal youn to
nahin kat'ta magar tanha December

Bhala Barish say kia Sairaab Hoga
Tumharay Wasl ka piyasa December

Woh kab bichra, nahi, ab yaad, lekin
Bus Itna yaa hai k tha December

Jama Poonji yehi hai umar bhar ki
Meri tanhai aur mera December !!

abhi hijr ka qayam hai aur december aan pohncha hai

 

December Aaan Pohncha Hai

Abhi hijr ka qayam hai aur December aan pohncha hai
Ye khabar sheher men aam hai Dcember aan pohncha hai
aangan men utar aai hai manoos see khushbu
yaadon ka asdaham hai December aan pohnca hai
khamoshyon ka raaj hai, khizan taak mein hai
udaasi bhi bohat aam hai, December aan pohncha hai
terey aaney ki umeed bhi ho chali madoom
naey baras ka ehtemam hai, December aan pohncha hai
Khunak raat mein tanhai bhi chokhat pe khaRi hai
Jarey ki udaas shaam hai, December aan pohncha hai
Tum aao tou merey mosmon ki bhi takmil ho jaey
nai rut tou sare e baam hai, December aan pohncha hai

Wednesday, November 27, 2013

phir yun hua ke dil mein kisi ko basa liya

phir yun hua key dil mein kisi ko basa liya

phir yun hua key khwab sajaey tamam umr

phir yun hua key dil mein kisi ko basa liya
phir yun hua key khwab sajaey tamam umr
phir yun hua key nikley kisi ki talash mein
phir yun hua key khud ko na paey tamam umr

phir yun hua key baton mein hum uss ki aa gaey
phir yun hua key dhokey hi khaey tamam umr
phir yun hua key dukh hamen mahboob ho gaey
phir yun hua ke dil sey lagaey tamam umr

phir yun hua key aur kisi key na ho sakey
phir yun hua key wadey nibhaey tamam umr
phir yun hua key beth gaey rao me Ghayass
phir yun hua key wo bhi na aaey tamam umr


apne ghar ki khirki se main asmaan ko dekhunga

apne ghar ki khirki se mein asman ko dekhunga

jis par tera nam likha hai us tarey ko dhundunga

apne ghar ki khirki se mein asmaan ko dekhunga
jis par tera nam likha hai uss tarey ko dhundunga

tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehliz per rakhna
mein bhi roz ek khvaab tumharey shahar ki jaanib bhejunga

hijr ke darya mein tum parhna lehron ki tahriren bhi
paani ki har sater pe mein kuchh dil ki baten likhunga

jis tanhaa se pairrh ke nichey hum barish mein bhigey they
tum bhi uss ko chhuu ke guzarna mein bhi uss se liptunga

khwaab musafir lamhon key hein saath kahaan tak jaaenge
tum ney bilkul theek kaha hai mein bhi ab kuchh sochunga

baadal orrh key guzrunga mein tere ghar ke angan sey
qaus e quzah key sab rangon mein tujh ko bhigaa dekhunga

be-mausam barish ki surrat der talak aur door talak
tere dayaar e husn pe mein bhii kin min kin min barsunga

sharm se dohraa ho jaaegaa kaan parra wo bundaa bhi
baad e sabaa ke lehje mein ek baat mein aisi puchunga

safhaa safhaa ek kitab e husn see khultii jaaegai
aur usii ki laee mein phir mein tum ko azbar kar lungaa

waqt key ek kankar ney jis ko akson mein taqsim kiyaa
aab e ravan mein kaise 'amjad' ab wo chehraa jorroonga

Amjad Islam Amjad ki ek khoobsurat ghazal

aaino mein aks na hon tou hairat rehti hai

aaino me aks na hon tou hairat rehti hai

jaise khaali aankho mein bhii vehshat rehti hai

aaino mein aks na hon tou hairat rehti hai
jaise khaali ankho mein bhii vehshat rehti hai

har dam dunyaa key hangaame gherey rakhtey they
jab se tere dhyan lage hein fursat rehti hai

karnii hai tou khul ke karo inkaar e vafaa kii baat
baat adhuri reh jaey tou hasrat rehti hai

shahr e sukhan mein aisa kuch kar izzat ban jaey
sab kuch mitti ho jata hai izzat rehti hai

bantey bantey dheh jati hai dil ki har taameer
khwahish ke bahrup mein shayad qismat rehti hai

saaey laraztey rehtey hein shehron ki galyon mein
rehte they insaan jahan ab dehshat rehti hai

mausam koi khushbu le kar aatey jatey hein
kyaa kayaa ham ko raat gaey tak vehshat rehti hai

dhyaan mein melaa sa lagta hai biitee yadon kaa
aksar uss key gham se dil ki sohbat rehti hai

phulon kii takhti par jaisey rangon kii tahrir
lauh e sukhan par aise 'amjad' shohrat rehti hai

 Amjad Islam Amjad ki ek Khoobsurat Ghazal

Monday, November 25, 2013

thak gaya hai dil e vahshi mera faryad se bhi


thak gaya hai dil e vehshi mera faryad se bhi

thak gaya hai dil vehshi mera faryad se bhi
ji bahaltaa nahi aey dost teri yaad se bhi

aii hava kyaa hai jo ab nazm e chaman aur huaa
said se bhi hein marasim tere sayyad se bhi

kyun sarakti hui lagti hai zamin yaan har dam
kabhi puchen to sabab shahr ki bunyad se bhi

barq thi yaa ki sharaar e dil e aashufta thaa
koi puche to mere aashiyaan barbad se bhi

barhti jaati hai kashish vaada gah e hasti ki
aur koi khinch raha hai adam abaad se bhi

(Perveen Shakir)

wo majburi nahi thi ye adakaari nahi hai

 

wo majburi nahi thi ye adakari nahi hai

wo majburi nahi thi ye adakaar nahi hai
magar dono taraf pehli si sarshaari nahi hai

bahaney se usey bas dekh anaa pal do pal ko
ye fard-jurm hai aur aankh inkari nahi hai

mein teri sard mohri se zara bad dil nahi hun
mere dushman tera ye vaar bhi kari nahi hai

mein uss ke qaul par imaan laa kr khauf men hun
kahin lehje men to zalim ke ayyaari nahi hai

(Perveen Shaki)

dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala

dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala

dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
wohi andaz hai zaalim ka zamane vala

ab usey log samajthe hein giraftar mera
sakht nadim ha mujhe daam men laney wala

subh dam chorr gaya nik hat e gul ki surat
rat ko guncha e dil men simat aney wala

kya kahen kitne marasim they hamarey us se
vo jo ek shakhs hai mun pher ke jane valaa

tere hote huey aa jati thi sari dunya
aj tanha hun to koi nahi aney walaa

kyaa khabar thi jo meri jaan men ghula hai itna
hai wohi mujh ko sar e daar bhi laney vala

mein ne dekhaa hai baharo men chaman ko jalte
hai koi khwab ki tabeer batane valaa

tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz
dost hota nahi har haath milaney walaa

dil munafiq tha shab e hijr men soya kaisa

 Ahmad Faraz lovely poetry

dil munafiq tha shab e hijr men soya kaisa

dil munafiq tha shab e hijr men soya kaisa
aur jab tujh se mila tuut ke roya kaisa

zindagi men bhi gazal hi kaa qarina rakhaa
khwab dar khwab tere gham ko piroya kaisa

ab to chehron pe bhi katbon ka guma hota hai
aankhen pathraai hui haen lab e goya kaisa

dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage
hijr hi hijr marasim men sumoya kaisa

ek aansu tha ki dariya e nadamat tha Faraz
dil se bebaak shanawar ko duboya kaisa

(Ahmed Faraz)

Chal nikalti hai gham e yaar se batein kya kya

chal nikalti haen gham e yar se baten kya kya

chal nikalti hain ghame yar se batein kya kya
ham ne bhi ki dar o divaar se baten kya kya

bat ban aai ha phir se k mere barey men
us ne puchi mere gham khwaar se baten kya kya

log lab-basta agar hon tou nikal aati hain
chup ke pairaya e izhar se baten kya kya

kisi saudaai ka qissa kisi harjai ki baat
log le aate hein bazaar se baten kya kya

ham ne bhi dast-shanasai ke bahane ki hein
hath men hath liye pyaar se baten kya kya

kis ko bikna tha magar khush hein ki is hiile se
ho gaeen apne kharidar se baten kya kya

(Ahmed Faraz)

ajab junuun e masaafat men ghar se nikla tha

 ajab junun e masafat men ghar se nikla tha

ajab junun e masafat men ghar se nikla tha
khabar nahi ha k suraj kidhr se nikla tha

ye kaun phir se unhi rasto men chorr gaya
abhi abhi to azab e safar se nikla tha

ye teer dil men magar be-sabab nahin utra
koi to harf lab e charagar se nikla tha

ye ab jo aag bana shahr shahr phila hai
yehi dhuan mere divaar o dar se nikla tha

main raat toot ke roya to chain se soya
ke dil ka zahr meri chashm e tar se nikla tha

ye ab jo sar hain khamida kulah ki khatir
ye aib bhi to ham ahl e hunar se nikla tha

vo qais ab jise majnu pukarte hein Faraz
teri tarha koi divaana ghar se nikla tha

(Ahmed Faraz)

Sunday, November 24, 2013

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi

Perveen Shakir

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi
dil ko khushi ke saath sath hota raha malal bhi

baat wo adhi raat ki, raat wo poorey chand ki
chand bhi aa'in chayt ka uss pr tera jamal bhi

sab sey nazar bacha key wo mujh ko kuch aisey dekhta
ek dafa tou ruk gai gardish mah o saal bhi

dil tou chamak sakey ga kya phir bhi tarash key dekh len
sheesha garan e shehr ke haath ka ye kamal bhi

uss ko na pa sakey thy jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat ke dekhye baat thi kuch muhaal bhi

meri talab tha ek shakhs wo jo nahin mila tou phir
hath dua sey yun gira bhool gaya sawal bhi

uss ki sukhun tara zyaan mery lye bhi dhaal theen
uss ki hansi me chup gaya apne ghamon ka haal bhi

gaao qareeb e shah e rag' gah e baeed wehem o khwab
uss ki rafaqaton me raat' hijr bhi tha wisaal bhi

uss key hi bazu'oon me aur uss ko hi sochtey rahey
jism ki khwahishon pe thy rooh key aur jaal bhi

shaam ki na samajh hawa puch rahi hai ek pata
moj e hawaey kuey e yaar' kar kuch tou mera khyal bhi


apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

Perveen Shakir

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur me kya kya dekhun
neend aa jaey tou kya mehfilen barpa dekhun
ankh khul jaey tou tanhai ka sehra dekhun
sham bhi ho gai dhundla gaeen ankhen meri
bhooleny waley me kab tak tera rasta dekhun
sab ziden es ki me poori karun har baat sunuu
ek bachey ki tarha sey esey hansta dekhun
mujh pe chha jaey jo barsaat ki khushbu ki tarha
ang ang apna isi rutt me mehkta dekhun
tuu meri tarha sey yakta hai magr mery habib
ji me ataa hai koi aur bhi tujh sa dekhun
me ney jis lamhey ko pooja hai esey bas ek baar
khwab ban kr teri ankho me utarta dekhun
tuu mera kuch nahi lagta hai magr jan e hayat
janey kyun tere lye dil ko dharakta dekhun


mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den gey

Perveen Shakir beautiful ghazal

mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den ge

mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den ge
lafz mery, mery honey ki gawahi den gey

log tharra gaey jis waqt manadi aai
aaj peghaam naya zill e ilahi den gey

jhonkey kuch aisey thapaktey hen gulon key rukhsar
jaisey es baar tou pat jharr sey bacha hi den gey

ham wo shab zad ke sooraj ki inayat me bhi
apney baccho ko faqat kor nigahi den gey

aasteen sanpon ki pehney gey galey me mala
ehl e koofa ko nai shehr pana hi den gey

shehr ki chabyan aa'daa ke hawaley kr ke
tohfatan phir inhen  maqtool subahi den gey


mujh se mukhlis tha na waqif mery jazbaat sey tha

mujh sey mukhlis tha na waqif mery jazbaat se tha

mujh se mukhlis tha na waqif mery jazbaat sey tha
es ka rishta tou faqat apney mafadaat se tha

ab jo bichra hai tou kya roeyn judai pe teri
ye andesha tou hamen pehli mulaqat se tha

dil ke bujhney ka hawaon sey gila kya karna
ye diya niza'a key aalam me tou kal raat sey tha

markaz e shehr me rehney pe mo'assar thi khalqat
aur me wabasta tery dil ke muzafat se tha

me kharabon ka makeen aur ta'aluq mera
tery natey kabhi khwabon ke mahallat sey tha

lab kushai pe khula uss key sukhan ka aflas
kitna arasta wo atlas wa banat sey tha

Yaa Rab! mery sukoot ko naghma sarai dey

 

Yaa Rab! mery sukoot ko naghma sarai dey

Yaa Rab! mery sukoot ko naghma sarai dey
zakhme hunar ko hosla lab kushai dey

lehjey ko juey aab ki wo nasey nawai dey
dunya ko hurf hurf ka behna sunai dey

rag rag me uss ka lams utarta dikhai dey
jo kaifiyat bhi jism ko dey, intehai dey

shehre sukhan sey rooh ko wo aashnai dey
ankhen bhi band rakhoon tou rasta sujjhai dey

takhyyul mahtaab ho, izhaare aaeena
ankho ko lafz lafz ka chehra dikhai dey

dil ko lahu karun tou koi naqsh ban sakey
tuu mujh ko karb e zaat ki sachi kamai dey

dukh key safar me manzil e nayaft kuch na ho
zakhm e jigar sey zakhm e hunar tak rasai dey

me ishq kainaat me zanjeer ho sakun
mujh ko hisaar e zaat key shehr sey rehai dey

pehron ki tashnagi pe bhi saabit qadam rahun
dasht e bala me, rooh mujhe karbalai dey

Tuesday, November 19, 2013

kya jane wo dil se utar kyun nahi jata

kya janey wo dil se utar kyun nahi jata

kya janey wo dil se utar kyun nahi jata
gar shaam ka bhoola hai tou ghar kyun nahi jata

hum ko nahi maloom ke ujrey huey dil se
awara mizaji ka asar kyun nahi jata

sadyon se tujhe taktey huey soch raha hun
Gi terey khadd o khaal se bhar kyun nahi jata

aankho se udasi ki ghata kyun nahi jhat'ti
seeney se mohabbat ka bhanwar kyun nahi jata

thehra hai jo ek qafla gham miere dil me
es choti see basti se guzar kyun nahi jata

sanson se mere larzishe e gham kyun nahi jatee
pairon se mere zakhm e safar kyun nahi jata

kabhi yaad aao tou es tarha

kabhi yaad aao tou es tarha

kabhi yaad aao tou es tarha
ke lahu ki saari imaraten
tumhen dhoop dhoop samet len
tmhen rang rang nikhar den
tumhe harf harf me soch len
tumhe dekhne ka jo shoq ho
tou dyar e hijr ki taergi ko
mizza  (مژہ)  nok se noch len
kabhi yad ao tou es tarha
ke dil o nazar me utar sako
kabhi hadd se jis junoon barhey
tou hawas ban ke bikhar sake
kabhi khil sako shabe wasl me
kabhi khoon e jigar me sanwar sako
sare rahguzar jo milo kabhi
na theher sako na guzar sako
mera dard phir se ghazal baney
kabhi gungunao tou es tarha
mere zakhm phir se gulab hon
kabhi muskurao tou es tarha
meri dharkane bhi laraz utthey
kabhi chot khao tou es tarha
jo nahi tou phir bare shoq sey
sabhi rabtey sabhi zabtey
kisi dhoop chaon me torr do
nai shikaste dil ka sitam saho
no suno kisi ka azabe jaan
nai kisi se apni khalish kaho
yunhi khush phiro, yunhi khush raho
na ujar saken, na sanwar saken
kabhi dil dukhao tou es tarha
na simat saken na bikhar saken
kabhi bhool jao tou es tarha
kisi toor e jaan se guzar saken
kabhi yaad aao tou es tarha !!!!
kabhi yaad aao tou es tarha !!!
 

Tuesday, November 12, 2013

khayal o khwab huwa barg o bar ka mosam

khayal o khwab huwa barg o baar ka mosam

 khayal o khwab huwa barg o bar ka mosam
bicharr gaya teri soorat, bahar ka mosam
 
kai tuton se mere neem wa dareechon me
theher gaya hai terey intzaar ka mosam

wo narm lehjey me kuch tou kahey ke loat aey
sama'aton ki zamin per phuwar ka mosam

payam aya hai phir ek sar-o-qamat ka
mere wujood ko kheenchey hai daar ka mosam

wo aag hai ke meri por por jalti hai
mere badan ko mila hai chanar ka mosam

rafaqaton ke naey khwab khushtuma hen magar
guzar chuka hai tery aetbaar ka mosam

hawa chali tou nai barishein bhi sath aeeyen
zameen ke chehrey pe ayaa nikhar ka mosam

wo mera naam lye jaey aur me uss ka nam
lahoo me goonj raha hai pukar ka mosam

qadam rakhey meri khushbu ke ghar ko loat aey
koi bataey mujhe kuey yaar ka mosam

wo roz aa ke mujhe apna pyaar pehnaey
mera ghuroor hai beley ke haar ka mosam

tery tareeq -e- mohabbt pe baar ha socha
ye jabr tha ke tery ikhtyaar ka mosam


zara paney ki chahat me

zarra paney ki chagat me

zarra paney ki chahat main
boht kuch choot jata hai
na janey sabr ka dhaga
kahan par toot jata hai
kise hamrah kehte ho
yahan to apna saya bhi
kahin par saath rehta hai
kahin par chhoot jata hai
ajab shay hai ye rishta bhi
bahut mazboot lagta hai
zara c bhool se lekin
bharosa toot jata hai...

sardiyon ki ek sard shaam mein

sardiyon ki ek sard shaam mein
usne mere hath thaam ke kaha
"itne garm hath wafa ki nishani hote hain"
mujhe ab khayal aaya ke us waqt
uske hath itne thande kyun they

Thursday, September 26, 2013

hum ke thehrey ajnabi itni madaraton ke bad

hum ke thehry ajnabi itni madaraton ke bad


hum ke thehrey ajnabi itni madaraton ke bad
phir baney gey aashna kitni mulaqaton key bad

kab nazar mein aey gi bey dagh sabzey ki bahar
khoon key dhabbey dhulein gey kitni barsaton ke bad

they boht hi bey dard lamhey khatm dard-e-ishq key
theen boht bey meher subhein mehrban raton key bad

dil tou chaha per shikast-e-dil ney mohlat hi na di
kuch giley shikwey bhi kar letey manajaton key bad

in sey jo kehney gaey they Faiz jaan sadqa key lye
an kahi hi reh gai wo baat sab baton key baad !!!

Friday, September 20, 2013

udaas sham dareechon mein muskurati hai

udaas shaam dareecho mein muskurati hai

udaas shaam dareecho mein muskurati hai
hawa bhi, dheemey suron me, koi udas geet
mery qareeb sey guzrey tou gungunati hai
meri tarha sey shafaq bhi kisi ki soch mein hai
men apney kamrey mein khirki key paas bethi hun
meri nigah dhundlakon mein uljhi jati hai
na rang hai, na kiran hai, na roshni, na charagh
na tera zikr, na tera pata, na tira suragh
hawa sey, khushk kitabon key urr rahe hein warq
magar mein bhool chuki hun tamam in key sabaq
ubhar raha hai takhayyal mein bas tera chehra
mein apni palkein jhpkti hun uss ko dekhti hun
mein es ko dekhtihun aur dar key sochti hun
ke kal ye chehra kisi aur hath mein pohnchey
tou mery hathon ki likhi hui koi tehreer
jo in khutoot mein roshan hai aag ki manind
na in zaheen nigahon ki zad me aa jaey

Thursday, September 19, 2013

charagari se bhi ab bhala nahi hota

charagari se bhi ab bhala nahi hota

charagari se bhi ab bhala nahi hota
dard hota hai, kam ya zyada nahi hota

ab purani huin sab kahawaten wa hikayeten
bhale ka bhala, burey ka bura nahi hota

dana wa khurd mand sirf yun hai bashar
jab tak wo paon per khara nahi hota

jis muheeb naley se katib jata hai jahan
kyun wo ameer sheher ney suna nahi hota

shafiq aur mah o anjum jis sey roshni paein
aftab hota hai, ek diya nahi hota

kis ney kar dya barbad mere ashyaney ko
tufan tou es qadar sar phira nahi hota