Amjad Islam Amjad ki ek khoobsurat nazam
har baras hi giran guzarte hein
har baras hi giran guzarte hein
khwahisho ke nigar khaney mein
kaisey kaisey guman guzarte hein
raftagan key bikharte salon ki
ek mehfil si dil me sajti hai
phone ki diary ke safho se
kitney number pukarte hein mujhe
jin se marboot ha nawa ghanti
ab faqat mery dil me bajti hai
kis qadar pyarey pyarey namo per
reengti badnuma lakeerein si
meri ankhon me phail jati hein
dooryan dairey banati hein
dhyan ki sirhiyon me kya kya aks
mash'alein dard ki jalate hein
aisey kaghaz pe phail jatey hein
hadsey ke maqam per jaisey
khoon key sookhey nishano per
chaak ki laainey lagatey hein
har december ke akhri din mein
har baras ki tarha ab bhi
diary ek sawal karti hai
kya khabar es baras ke aakhir tak
merey in be charagh safhon sey
kitney hi naam kat gaey hon gey
kitney number bikhar ke raston me
gard mazi se att gaey hon gey
khaak ki dheryon ke daman mein
kitney toofan simat gaey hon gey
har December me sochta hun mein
ek din es tarha bhi hona hai
rang ko roshni me khona hai
apney apney gharon me rakhi hui
diary dost dekhtey hon gey
in ki ankhon key khakdano mein
ek sehra sa phailta ho ga
aur kuch be nishan safhon sey
naam mera bhi
katt gaya ho ga !!
No comments:
Post a Comment