Tuesday, December 31, 2013

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ki mein

 

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ke mein

aalam e aab o khaak o baad sirr e ayaan hai tuu ke mein
vo jo nazar se hai nihaan uss kaa jahan hai tuu ke mein

vo shab e dard o soz o gham kehte hein zindagi jise
uss ki sahar hai tuu ke mein uss ki azaan hai tuu ke mein

kis ki numood ke liye shaam o sahar hein garm e sair
shaana e rozgaar par baar e giraan hai tuu ke mein

tuu kaf e khaak o be basar mein kaf e khaak o khud nigar
kisht e vajood ke liye aab e ravaan hai tuu ke mein

No comments:

Post a Comment