Sunday, November 24, 2013

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

Perveen Shakir

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur me kya kya dekhun
neend aa jaey tou kya mehfilen barpa dekhun
ankh khul jaey tou tanhai ka sehra dekhun
sham bhi ho gai dhundla gaeen ankhen meri
bhooleny waley me kab tak tera rasta dekhun
sab ziden es ki me poori karun har baat sunuu
ek bachey ki tarha sey esey hansta dekhun
mujh pe chha jaey jo barsaat ki khushbu ki tarha
ang ang apna isi rutt me mehkta dekhun
tuu meri tarha sey yakta hai magr mery habib
ji me ataa hai koi aur bhi tujh sa dekhun
me ney jis lamhey ko pooja hai esey bas ek baar
khwab ban kr teri ankho me utarta dekhun
tuu mera kuch nahi lagta hai magr jan e hayat
janey kyun tere lye dil ko dharakta dekhun


No comments:

Post a Comment