Wednesday, November 27, 2013

aaino mein aks na hon tou hairat rehti hai

aaino me aks na hon tou hairat rehti hai

jaise khaali aankho mein bhii vehshat rehti hai

aaino mein aks na hon tou hairat rehti hai
jaise khaali ankho mein bhii vehshat rehti hai

har dam dunyaa key hangaame gherey rakhtey they
jab se tere dhyan lage hein fursat rehti hai

karnii hai tou khul ke karo inkaar e vafaa kii baat
baat adhuri reh jaey tou hasrat rehti hai

shahr e sukhan mein aisa kuch kar izzat ban jaey
sab kuch mitti ho jata hai izzat rehti hai

bantey bantey dheh jati hai dil ki har taameer
khwahish ke bahrup mein shayad qismat rehti hai

saaey laraztey rehtey hein shehron ki galyon mein
rehte they insaan jahan ab dehshat rehti hai

mausam koi khushbu le kar aatey jatey hein
kyaa kayaa ham ko raat gaey tak vehshat rehti hai

dhyaan mein melaa sa lagta hai biitee yadon kaa
aksar uss key gham se dil ki sohbat rehti hai

phulon kii takhti par jaisey rangon kii tahrir
lauh e sukhan par aise 'amjad' shohrat rehti hai

 Amjad Islam Amjad ki ek Khoobsurat Ghazal

No comments:

Post a Comment