apne ghar ki khirki se mein asman ko dekhunga
jis par tera nam likha hai us tarey ko dhundunga
apne ghar ki khirki se mein asmaan ko dekhunga
jis par tera nam likha hai uss tarey ko dhundunga
tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehliz per rakhna
mein bhi roz ek khvaab tumharey shahar ki jaanib bhejunga
hijr ke darya mein tum parhna lehron ki tahriren bhi
paani ki har sater pe mein kuchh dil ki baten likhunga
jis tanhaa se pairrh ke nichey hum barish mein bhigey they
tum bhi uss ko chhuu ke guzarna mein bhi uss se liptunga
khwaab musafir lamhon key hein saath kahaan tak jaaenge
tum ney bilkul theek kaha hai mein bhi ab kuchh sochunga
baadal orrh key guzrunga mein tere ghar ke angan sey
qaus e quzah key sab rangon mein tujh ko bhigaa dekhunga
be-mausam barish ki surrat der talak aur door talak
tere dayaar e husn pe mein bhii kin min kin min barsunga
sharm se dohraa ho jaaegaa kaan parra wo bundaa bhi
baad e sabaa ke lehje mein ek baat mein aisi puchunga
safhaa safhaa ek kitab e husn see khultii jaaegai
aur usii ki laee mein phir mein tum ko azbar kar lungaa
waqt key ek kankar ney jis ko akson mein taqsim kiyaa
aab e ravan mein kaise 'amjad' ab wo chehraa jorroonga
No comments:
Post a Comment