agar kaj-rao hein anjum asmaan tera hai yaa mera
agar kaj-rao hein anjum asmaan tera hai yaa mera
mujhe fikr e jahan kyu ho jahan tera hai yaa mera
agar hangama haae shauq se hai laa makan khali
khataa kis ki hai yaa rab laa makan tera hai yaa mera
usey subh e azal inkaar ki jurat hui kyun kar
mujhe maloom kyaa vo raazdaan tera hai yaa mera
mohammad bhi tera jibreel bhi qur'aan bhi tera
magar ye harf e sheerin tarjuman tera hai yaa mera
isi kaukab ki taabaani se hai tera jahan roshan
zawaal e aadam e khaaki ziyaan tera hai yaa mera
No comments:
Post a Comment