Monday, November 25, 2013

ajab junuun e masaafat men ghar se nikla tha

 ajab junun e masafat men ghar se nikla tha

ajab junun e masafat men ghar se nikla tha
khabar nahi ha k suraj kidhr se nikla tha

ye kaun phir se unhi rasto men chorr gaya
abhi abhi to azab e safar se nikla tha

ye teer dil men magar be-sabab nahin utra
koi to harf lab e charagar se nikla tha

ye ab jo aag bana shahr shahr phila hai
yehi dhuan mere divaar o dar se nikla tha

main raat toot ke roya to chain se soya
ke dil ka zahr meri chashm e tar se nikla tha

ye ab jo sar hain khamida kulah ki khatir
ye aib bhi to ham ahl e hunar se nikla tha

vo qais ab jise majnu pukarte hein Faraz
teri tarha koi divaana ghar se nikla tha

(Ahmed Faraz)

No comments:

Post a Comment