Perveen Shakir
kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi
kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi
dil ko khushi ke saath sath hota raha malal bhi
baat wo adhi raat ki, raat wo poorey chand ki
chand bhi aa'in chayt ka uss pr tera jamal bhi
sab sey nazar bacha key wo mujh ko kuch aisey dekhta
ek dafa tou ruk gai gardish mah o saal bhi
dil tou chamak sakey ga kya phir bhi tarash key dekh len
sheesha garan e shehr ke haath ka ye kamal bhi
uss ko na pa sakey thy jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat ke dekhye baat thi kuch muhaal bhi
meri talab tha ek shakhs wo jo nahin mila tou phir
hath dua sey yun gira bhool gaya sawal bhi
uss ki sukhun tara zyaan mery lye bhi dhaal theen
uss ki hansi me chup gaya apne ghamon ka haal bhi
gaao qareeb e shah e rag' gah e baeed wehem o khwab
uss ki rafaqaton me raat' hijr bhi tha wisaal bhi
uss key hi bazu'oon me aur uss ko hi sochtey rahey
jism ki khwahishon pe thy rooh key aur jaal bhi
shaam ki na samajh hawa puch rahi hai ek pata
moj e hawaey kuey e yaar' kar kuch tou mera khyal bhi
No comments:
Post a Comment