mujh sey mukhlis tha na waqif mery jazbaat se tha
mujh se mukhlis tha na waqif mery jazbaat sey tha
es ka rishta tou faqat apney mafadaat se tha
ab jo bichra hai tou kya roeyn judai pe teri
ye andesha tou hamen pehli mulaqat se tha
dil ke bujhney ka hawaon sey gila kya karna
ye diya niza'a key aalam me tou kal raat sey tha
markaz e shehr me rehney pe mo'assar thi khalqat
aur me wabasta tery dil ke muzafat se tha
me kharabon ka makeen aur ta'aluq mera
tery natey kabhi khwabon ke mahallat sey tha
lab kushai pe khula uss key sukhan ka aflas
kitna arasta wo atlas wa banat sey tha
No comments:
Post a Comment