khayal o khwab huwa barg o baar ka mosam
khayal o khwab huwa barg o bar ka mosam
bicharr gaya teri soorat, bahar ka mosam
kai tuton se mere neem wa dareechon me
theher gaya hai terey intzaar ka mosam
wo narm lehjey me kuch tou kahey ke loat aey
sama'aton ki zamin per phuwar ka mosam
payam aya hai phir ek sar-o-qamat ka
mere wujood ko kheenchey hai daar ka mosam
wo aag hai ke meri por por jalti hai
mere badan ko mila hai chanar ka mosam
rafaqaton ke naey khwab khushtuma hen magar
guzar chuka hai tery aetbaar ka mosam
hawa chali tou nai barishein bhi sath aeeyen
zameen ke chehrey pe ayaa nikhar ka mosam
wo mera naam lye jaey aur me uss ka nam
lahoo me goonj raha hai pukar ka mosam
qadam rakhey meri khushbu ke ghar ko loat aey
koi bataey mujhe kuey yaar ka mosam
wo roz aa ke mujhe apna pyaar pehnaey
mera ghuroor hai beley ke haar ka mosam
tery tareeq -e- mohabbt pe baar ha socha
ye jabr tha ke tery ikhtyaar ka mosam
No comments:
Post a Comment