aflaak se ataa hai nalon kaa javaab akhir
aflaak se ataa hai nalon kaa javaab akhir
karte hein khitaab akhir uthey hein hijaab aakhir
ahvaal e mohabbat mein kuchh farq nahi aisa
soz o tab o taab avval soz o tab o taab akhir
mein tujh ko bataata hun taqdir e umam kyaa hai
shamshir o sinaa avval taa'oos o rabaab akhir
mai khaana e europe ke dastoor niraley hein
laatey hein suroor awwal detey hein sharaab akhir
kyaa dabdaba e naadir kyaa shaukat e taimoori
ho jaatey hein sab daftar gharq e mai e naab aakhir
khalwat ki ghadii guzri jalvat ki ghadii aai
chhutney ko hai bijli se aaghosh e sahaab aakhir
thaa zabt bohat mushkil is sail e ma'aani kaa
keh daaley qalandar ne asraar e kitaab aakhir
No comments:
Post a Comment