sitaron se agey jahan aur bhi hein
abhi ishq ke imtihan aur bhi hein
tahi zindagi se nahi ye fizaeyn
yahan sainkro karawan aur bhi hein
qanat na kar aalam-e-rango buu per
chaman aur bhi aashyan aur bhi hein
agar kho gaya ik nashaiman tou kya gham
maqamat-o-aaho faghan aur bhi hein
tuu shaheen hai parwaz hai kaam tera
tere samney aasman aur bhi hein
isi rozo shab me ulajh kr na reh ja
ke tere zamano makan aur bhi hein
gaey din ke tanha tha men anjuman mein
yahan ab mere razdaan aur bhi hein
(Iqbal)
No comments:
Post a Comment