Sunday, August 18, 2013

zaahir ki ankh se na tamasha kare koi

Ghazal (Iqbal)

zaahir ki ankh se na tamasha kare koi
ho dekhna tou deeda dil wa kare koi
mansoor ko hua lab goya payam-e-mot
ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi
ho deed ka jo shoq tou ankho ka band kar
hai dekhna yehi ke na dekha kare koi
me intaha-e-ishq hun tu inteha-e-husn
dekhey mujhey ke tujh ko tamasha kare koi
uzar afreen-e- jurm-e-mohabbat sey husn-e-dost
mehshar me uzar taza na kare koi
chupti nahi hai nigah-e-shoq hum nasheen
phir aur kis tarha inhen dekha kare koi
urr bethey kya samajh ke bhala toor per kaleem
taqat ho deed ki tou taqaza kare koi
nazarey ko ba junbish muzgan bhi haar hai
ba nargis ki ankh se tjhey dekha kare koi
khul jaen kya maze hen tamanna-e-shoq me
do char din me jo meri tamanna kare koi

No comments:

Post a Comment