Ghazal
laon wo tinkey kahin se ashyaney ke lye
bijliyan betaab hon jin ko jalaney ke lye
waaey nakami, falak ney taak kar tora usey
me ne jis daali ko tarra ashyaney ke lye
ankh mil jati ha haftad wa do millat sey teri
ek paymana tera sarey zamaney ke lye
dil me koi es tarah ki awaz paida karun
laut jaey aasman mere mitaney ke lye
jama kar kharman tou pehle dana dana chun ke tuu
aahi nikle gi koi bijli jalaney ke lye
paas tha nakami-e-sayyad ka aye ham safeer
warna me aur urr ke aataa ek daney ke lye
es chaman men murgh-e-dil gaaey na azaadi ka geet
aahhh! ye gulshan nahi aisey taraney ke lye
(Iqbal, Baang-e-Dara)
No comments:
Post a Comment