Friday, January 3, 2014

sama sakta nahin pehnaey fitrat mein mera soda

ghalat tha aey junoon shayad tera andaza e sehra

sama sakta nahin pehnaey fitrat mein mera soda
ghalat tha aey junoon shayad tera andaz e sehra

khudi se es tlism rang o buu ko torr saktey hen
yehi toheed thi jis ko na tuu samjha na mein samjha

nigah paida kar aey ghafil tajalli a'ain fitrat hai
ke apni moj sey begana reh sakta nahi darya

raqabat ilm o irfan mein ghalat beeni hai manbar ki
ke wo hallaj  ki sooli ko samjha hai raqeeb apna

khuda key pak bandon ko hukoomat mein ghulami mein
zara koi agar mehfooz rakhti hai tou istighnaa

na kr taqleed aey Jibreel merey jazb o masti ki
tan aasaan arshyon ko zikr o tasbeeh wa tawaf uoolaa

bohat dekhey hein mein ney mashriq o maghrib key mai khaney
yahan saqi nahi paida wahan bey zoq hai sehbaa

na iran mein rahe baqi na turaan mein rahe baaqi
wo bandey faqr tha jin ka halak Qaiser o Kisra

No comments:

Post a Comment