wo hamsafar tha magar uss sey ham nawai no thi
ke dhoop chaon ka alam raha judai na thi
na apna ranj, na apna dukh, na auron ka malal
shab-e-faraq kabhi hum ne yun ganwai na thi
muhabbato ka safar es tarha bhi guzra tha
shikasta dil thy musafir shikasta pai na thi
adawatein theen, taghaful tha, ranjishein theen bohat
bicharney wale me sab kuch tha, be wafai no thi
bichartey waqt un ankhon me thi hamari ghazal
ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunai na thi
kisey pukar raha tha wo doobta hua din
sada tou aai thi lekin koi duhaai na thi
kabhi ye haal ke dono me yak dili thi Naseer
kabhi ye marhala jaisey ke aashnaai na thi
No comments:
Post a Comment