gurez-e-shab sey sahar sey kalam rakhtey they
gurez-e-shab sey sahar sey kalam rakhtey they
kabhi wo din they ke zulfon me sham rakhtey they
tumharey hath lagey hein tou jo karo so karo
wagarna tum se tou ham so ghulam rakhtey hein
hamen bhi gher liya ghar ke zo'am ney tou khula
kuch aur log bhi es me qayam rakhtey hein
ye aur baat hamen dosti na raas aiee
hawa thi sath tou khushbuu maqam rakhte they
na janey kon se rut me bicharr gaey wo log
jo apney dil me bohat ehtaram rakhtey they
wo aa tou jata kabhi, ham tou es ke rasto per
diye jalaey huey subho sham rakhtey they
(Noshi Gilani)
No comments:
Post a Comment