pehle bhi ye dil hijr se be haal hua ha
pehle bhi bicharne ki saza pai ha uss ne
rukhsat ki aziyyat me jo shiddat hai, sahi ha
ayaa ha boht yad kisi chashm ka jaadoo
khud se bohat aai kisi malboos ki khushboo
khencha ha boht qalb ko guzre hue kal ne
din bhar kabhi doori ne zuboon haal rakha ha
rukhsat ki ghari theher gai rooh me jaise
es baar jo aya ha magr, hijr ka mosam
es me dil beemar ki wehshat hi alag ha
mitti se judai ki hikayat hi alag ha
kuch der ki takheer jo hoti hai watan se
lagta ha ke ab jan nikal jae gi tan sey!
(perveen shakir)
Ghazal
sula raha tha nai bedaar kar saka tha mujhe
wo jaise khawab me mehsoos kar raha tha mujhe
yehi that chand aur es ko gawah thehraa kr
zara sa yaad tou kar tu ne kya kaha tha mujhe
tamam raat meri khwab gaah roshan thi
kisi ne khwab me ek phool de dya tha mujhe
wo din bhi aye ke khushboo se meri aankh khuli
aur ek rang haqeeqat me chhoo raha tha mujhe
me apni khaak pe kaise na lout kar aatee
bohat qareeb se koi pukarta tha mujhe
daroon-e- khaima hi mera qayaam rehna tha
tu meer-e-fouj ne lashkar me kyun liya tha mujhe
(perveen shakir)
No comments:
Post a Comment