aankhein bhi wohi hein tou dareecha bhi wohi hai
ankhein bhi wohi hein tou dareecha bhi wohi hai
aur soch ke angan me utarta bhi wohi hai
jis ne mere jazbo ki sadaqat ko na jana
ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai
is dil ke kharabey sey guzar kis ka hua hai
ankhein bhi wohi, hont bhi, lehja bhi wohi hai
jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ney tujh se
is sheher ki deewar pe likha bhi wohi hai
wo jis ney diye mujh ko mohabbat ke khazaney
badal ki tarha ankh se barsa bhi wohi hai
No comments:
Post a Comment