waqt-e-rukhsat aa gaya, dil phir bhi ghabraya nahi
es ko hum kya khoen gey jis ko kabhi paya nahi
zindagi jitni bhi ha ab mustaqil sehraa me hai
aur es sehraa me tera door tak saya nahi
meri qismat me faqat dard tahey saghar hi hai
awwal shab jaam meri simt wo laya nahi
teri ankhon ka bhi kuch halka gulabi rang tha
zehen ne mere bhi ab ke dil ko samjhaya nahi
kaan bhi khali hein mere aur dono haath bhi
ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phool pehnaya nahi
(Perveen Shakir)
(Perveen Shakir)
No comments:
Post a Comment