hein rawan is raah per jis ki koi manzil nahi
hein rawan is raah per jis ki koi manzil nahi
justuju karte hein us ki jo hamen hasil na ho
dasht najad paas me diwangi ho har taraf
har taraf mehmil ka shak ho per kahin mehmil na ho
weham ye tujh ko ajab hai jamal kam numa
jaise sab kuch ho mager tuu deed ke qabil na ho
wo khara hai ek baab-e-ilm ki dehleez per
me ye kehta hun isey es khof me dakhil na ho
chahta hun me Munir es umr ke anjam per
ek aisi zindagi jo es tarha mushkil na ho
khumar shab men isey me salam kar betha
khumar shab men isey me salam kar betha
jo kaam kerna tha mujh ko, wo kaam kar betha
qabaey zard pehen kr wo bazm me aya tha
gull hina ko hatheli me tham kar betha
chupa gaya tha mohabbat ka raaz me tou magar
wo bholpan me sukhan dil ka aam kar betha
jo so ke utha tou rasta ujaar lagta tha
pohnchna tha mujhe manzil pe, sham kar betha
thakan safar ki badan me shal sa kar gai hai Munir
bura kya jo safar me qayam kar betha
(Munir Niazi)
No comments:
Post a Comment