teri har baat sey anjan bhi ho sakta hai
teri har baat sey anjan bhi ho sakta hai
dil-e-wehshi, dile-e-nadan bhi ho sakta hai
ham jahan beth ke taron se teri baat karein
wo kisi jism ka dalan bhi ho sakta hai
ye jo ek bherya jangal me hua krta hai
kal isi bhais me insan bhi ho sakta hai
ain mumkin hai jisey dil ke bajaey thamu
ab kisi shokh ka daman bhi ho sakta hai
titlyan nochney ka jurm kya hai jis ney
wo merey sheher ka sultan bhi ho sakta hai
aaj dil me teri yadon ke dye jaltey hein
kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai
jo tujhey aur kisi ka nahi honey deta
ye mery ishq ka eeqaan bhi ho sakta
ye jo ek shakhs tujhe dekh ke roshan hai bohat
bujh bhi sakta hai ye weeran bhi ho sakta hai
(Wasi Shah)
تیری ہر بات سے انجان بھی ہو سکتا ہے
دل وحشی، دل نادان بھی ہو سکتا ہے
ہم جہاں بیٹھ کے تاروں سے تری بات کریں
وہ کسی جسم کا دالان بھی ہو سکتا ہے
یہ جو عک بھیڑیا جنگل میں ہوا کرتا ہے
کل اسی بھیس میں انسان بھی ہو سکتا ہے
عین ممکن ہے جسے دل کے بجائے تھاموں
اب کسی شوخ کا دامان بھی ہو سکتا ہے
تتلیاں نوچنے کا جرم کیا ہے جس نے
وہ مرے شہر کا سلطان بھی ہو سکتا ہے
آج دل میں تری یادوں کے دیے جلتے ہیں
کل یہی راستہ سنسان بھی ہو سکتا ہے
جو تجھے اور کسی کا نہیں ہونے دیتا
یہ مرے عشق کا ایقان بھی ہو سکتا ہے
یہ جو اک شخص تجھے دیکھ کے روشن ہے بہت
بجھ بھی سکتا ہے یہ ویران بھی ہو سکتا ہے