Wednesday, November 27, 2013

phir yun hua ke dil mein kisi ko basa liya

phir yun hua key dil mein kisi ko basa liya

phir yun hua key khwab sajaey tamam umr

phir yun hua key dil mein kisi ko basa liya
phir yun hua key khwab sajaey tamam umr
phir yun hua key nikley kisi ki talash mein
phir yun hua key khud ko na paey tamam umr

phir yun hua key baton mein hum uss ki aa gaey
phir yun hua key dhokey hi khaey tamam umr
phir yun hua key dukh hamen mahboob ho gaey
phir yun hua ke dil sey lagaey tamam umr

phir yun hua key aur kisi key na ho sakey
phir yun hua key wadey nibhaey tamam umr
phir yun hua key beth gaey rao me Ghayass
phir yun hua key wo bhi na aaey tamam umr


apne ghar ki khirki se main asmaan ko dekhunga

apne ghar ki khirki se mein asman ko dekhunga

jis par tera nam likha hai us tarey ko dhundunga

apne ghar ki khirki se mein asmaan ko dekhunga
jis par tera nam likha hai uss tarey ko dhundunga

tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehliz per rakhna
mein bhi roz ek khvaab tumharey shahar ki jaanib bhejunga

hijr ke darya mein tum parhna lehron ki tahriren bhi
paani ki har sater pe mein kuchh dil ki baten likhunga

jis tanhaa se pairrh ke nichey hum barish mein bhigey they
tum bhi uss ko chhuu ke guzarna mein bhi uss se liptunga

khwaab musafir lamhon key hein saath kahaan tak jaaenge
tum ney bilkul theek kaha hai mein bhi ab kuchh sochunga

baadal orrh key guzrunga mein tere ghar ke angan sey
qaus e quzah key sab rangon mein tujh ko bhigaa dekhunga

be-mausam barish ki surrat der talak aur door talak
tere dayaar e husn pe mein bhii kin min kin min barsunga

sharm se dohraa ho jaaegaa kaan parra wo bundaa bhi
baad e sabaa ke lehje mein ek baat mein aisi puchunga

safhaa safhaa ek kitab e husn see khultii jaaegai
aur usii ki laee mein phir mein tum ko azbar kar lungaa

waqt key ek kankar ney jis ko akson mein taqsim kiyaa
aab e ravan mein kaise 'amjad' ab wo chehraa jorroonga

Amjad Islam Amjad ki ek khoobsurat ghazal

aaino mein aks na hon tou hairat rehti hai

aaino me aks na hon tou hairat rehti hai

jaise khaali aankho mein bhii vehshat rehti hai

aaino mein aks na hon tou hairat rehti hai
jaise khaali ankho mein bhii vehshat rehti hai

har dam dunyaa key hangaame gherey rakhtey they
jab se tere dhyan lage hein fursat rehti hai

karnii hai tou khul ke karo inkaar e vafaa kii baat
baat adhuri reh jaey tou hasrat rehti hai

shahr e sukhan mein aisa kuch kar izzat ban jaey
sab kuch mitti ho jata hai izzat rehti hai

bantey bantey dheh jati hai dil ki har taameer
khwahish ke bahrup mein shayad qismat rehti hai

saaey laraztey rehtey hein shehron ki galyon mein
rehte they insaan jahan ab dehshat rehti hai

mausam koi khushbu le kar aatey jatey hein
kyaa kayaa ham ko raat gaey tak vehshat rehti hai

dhyaan mein melaa sa lagta hai biitee yadon kaa
aksar uss key gham se dil ki sohbat rehti hai

phulon kii takhti par jaisey rangon kii tahrir
lauh e sukhan par aise 'amjad' shohrat rehti hai

 Amjad Islam Amjad ki ek Khoobsurat Ghazal

Monday, November 25, 2013

thak gaya hai dil e vahshi mera faryad se bhi


thak gaya hai dil e vehshi mera faryad se bhi

thak gaya hai dil vehshi mera faryad se bhi
ji bahaltaa nahi aey dost teri yaad se bhi

aii hava kyaa hai jo ab nazm e chaman aur huaa
said se bhi hein marasim tere sayyad se bhi

kyun sarakti hui lagti hai zamin yaan har dam
kabhi puchen to sabab shahr ki bunyad se bhi

barq thi yaa ki sharaar e dil e aashufta thaa
koi puche to mere aashiyaan barbad se bhi

barhti jaati hai kashish vaada gah e hasti ki
aur koi khinch raha hai adam abaad se bhi

(Perveen Shakir)

wo majburi nahi thi ye adakaari nahi hai

 

wo majburi nahi thi ye adakari nahi hai

wo majburi nahi thi ye adakaar nahi hai
magar dono taraf pehli si sarshaari nahi hai

bahaney se usey bas dekh anaa pal do pal ko
ye fard-jurm hai aur aankh inkari nahi hai

mein teri sard mohri se zara bad dil nahi hun
mere dushman tera ye vaar bhi kari nahi hai

mein uss ke qaul par imaan laa kr khauf men hun
kahin lehje men to zalim ke ayyaari nahi hai

(Perveen Shaki)

dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala

dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala

dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
wohi andaz hai zaalim ka zamane vala

ab usey log samajthe hein giraftar mera
sakht nadim ha mujhe daam men laney wala

subh dam chorr gaya nik hat e gul ki surat
rat ko guncha e dil men simat aney wala

kya kahen kitne marasim they hamarey us se
vo jo ek shakhs hai mun pher ke jane valaa

tere hote huey aa jati thi sari dunya
aj tanha hun to koi nahi aney walaa

kyaa khabar thi jo meri jaan men ghula hai itna
hai wohi mujh ko sar e daar bhi laney vala

mein ne dekhaa hai baharo men chaman ko jalte
hai koi khwab ki tabeer batane valaa

tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz
dost hota nahi har haath milaney walaa

dil munafiq tha shab e hijr men soya kaisa

 Ahmad Faraz lovely poetry

dil munafiq tha shab e hijr men soya kaisa

dil munafiq tha shab e hijr men soya kaisa
aur jab tujh se mila tuut ke roya kaisa

zindagi men bhi gazal hi kaa qarina rakhaa
khwab dar khwab tere gham ko piroya kaisa

ab to chehron pe bhi katbon ka guma hota hai
aankhen pathraai hui haen lab e goya kaisa

dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage
hijr hi hijr marasim men sumoya kaisa

ek aansu tha ki dariya e nadamat tha Faraz
dil se bebaak shanawar ko duboya kaisa

(Ahmed Faraz)

Chal nikalti hai gham e yaar se batein kya kya

chal nikalti haen gham e yar se baten kya kya

chal nikalti hain ghame yar se batein kya kya
ham ne bhi ki dar o divaar se baten kya kya

bat ban aai ha phir se k mere barey men
us ne puchi mere gham khwaar se baten kya kya

log lab-basta agar hon tou nikal aati hain
chup ke pairaya e izhar se baten kya kya

kisi saudaai ka qissa kisi harjai ki baat
log le aate hein bazaar se baten kya kya

ham ne bhi dast-shanasai ke bahane ki hein
hath men hath liye pyaar se baten kya kya

kis ko bikna tha magar khush hein ki is hiile se
ho gaeen apne kharidar se baten kya kya

(Ahmed Faraz)

ajab junuun e masaafat men ghar se nikla tha

 ajab junun e masafat men ghar se nikla tha

ajab junun e masafat men ghar se nikla tha
khabar nahi ha k suraj kidhr se nikla tha

ye kaun phir se unhi rasto men chorr gaya
abhi abhi to azab e safar se nikla tha

ye teer dil men magar be-sabab nahin utra
koi to harf lab e charagar se nikla tha

ye ab jo aag bana shahr shahr phila hai
yehi dhuan mere divaar o dar se nikla tha

main raat toot ke roya to chain se soya
ke dil ka zahr meri chashm e tar se nikla tha

ye ab jo sar hain khamida kulah ki khatir
ye aib bhi to ham ahl e hunar se nikla tha

vo qais ab jise majnu pukarte hein Faraz
teri tarha koi divaana ghar se nikla tha

(Ahmed Faraz)

Sunday, November 24, 2013

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi

Perveen Shakir

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi

kuch tou hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayal bhi
dil ko khushi ke saath sath hota raha malal bhi

baat wo adhi raat ki, raat wo poorey chand ki
chand bhi aa'in chayt ka uss pr tera jamal bhi

sab sey nazar bacha key wo mujh ko kuch aisey dekhta
ek dafa tou ruk gai gardish mah o saal bhi

dil tou chamak sakey ga kya phir bhi tarash key dekh len
sheesha garan e shehr ke haath ka ye kamal bhi

uss ko na pa sakey thy jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat ke dekhye baat thi kuch muhaal bhi

meri talab tha ek shakhs wo jo nahin mila tou phir
hath dua sey yun gira bhool gaya sawal bhi

uss ki sukhun tara zyaan mery lye bhi dhaal theen
uss ki hansi me chup gaya apne ghamon ka haal bhi

gaao qareeb e shah e rag' gah e baeed wehem o khwab
uss ki rafaqaton me raat' hijr bhi tha wisaal bhi

uss key hi bazu'oon me aur uss ko hi sochtey rahey
jism ki khwahishon pe thy rooh key aur jaal bhi

shaam ki na samajh hawa puch rahi hai ek pata
moj e hawaey kuey e yaar' kar kuch tou mera khyal bhi


apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

Perveen Shakir

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun

apni ruswai tere naam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur me kya kya dekhun
neend aa jaey tou kya mehfilen barpa dekhun
ankh khul jaey tou tanhai ka sehra dekhun
sham bhi ho gai dhundla gaeen ankhen meri
bhooleny waley me kab tak tera rasta dekhun
sab ziden es ki me poori karun har baat sunuu
ek bachey ki tarha sey esey hansta dekhun
mujh pe chha jaey jo barsaat ki khushbu ki tarha
ang ang apna isi rutt me mehkta dekhun
tuu meri tarha sey yakta hai magr mery habib
ji me ataa hai koi aur bhi tujh sa dekhun
me ney jis lamhey ko pooja hai esey bas ek baar
khwab ban kr teri ankho me utarta dekhun
tuu mera kuch nahi lagta hai magr jan e hayat
janey kyun tere lye dil ko dharakta dekhun


mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den gey

Perveen Shakir beautiful ghazal

mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den ge

mar bhi jaon tou kahan log bhula hi den ge
lafz mery, mery honey ki gawahi den gey

log tharra gaey jis waqt manadi aai
aaj peghaam naya zill e ilahi den gey

jhonkey kuch aisey thapaktey hen gulon key rukhsar
jaisey es baar tou pat jharr sey bacha hi den gey

ham wo shab zad ke sooraj ki inayat me bhi
apney baccho ko faqat kor nigahi den gey

aasteen sanpon ki pehney gey galey me mala
ehl e koofa ko nai shehr pana hi den gey

shehr ki chabyan aa'daa ke hawaley kr ke
tohfatan phir inhen  maqtool subahi den gey


mujh se mukhlis tha na waqif mery jazbaat sey tha

mujh sey mukhlis tha na waqif mery jazbaat se tha

mujh se mukhlis tha na waqif mery jazbaat sey tha
es ka rishta tou faqat apney mafadaat se tha

ab jo bichra hai tou kya roeyn judai pe teri
ye andesha tou hamen pehli mulaqat se tha

dil ke bujhney ka hawaon sey gila kya karna
ye diya niza'a key aalam me tou kal raat sey tha

markaz e shehr me rehney pe mo'assar thi khalqat
aur me wabasta tery dil ke muzafat se tha

me kharabon ka makeen aur ta'aluq mera
tery natey kabhi khwabon ke mahallat sey tha

lab kushai pe khula uss key sukhan ka aflas
kitna arasta wo atlas wa banat sey tha

Yaa Rab! mery sukoot ko naghma sarai dey

 

Yaa Rab! mery sukoot ko naghma sarai dey

Yaa Rab! mery sukoot ko naghma sarai dey
zakhme hunar ko hosla lab kushai dey

lehjey ko juey aab ki wo nasey nawai dey
dunya ko hurf hurf ka behna sunai dey

rag rag me uss ka lams utarta dikhai dey
jo kaifiyat bhi jism ko dey, intehai dey

shehre sukhan sey rooh ko wo aashnai dey
ankhen bhi band rakhoon tou rasta sujjhai dey

takhyyul mahtaab ho, izhaare aaeena
ankho ko lafz lafz ka chehra dikhai dey

dil ko lahu karun tou koi naqsh ban sakey
tuu mujh ko karb e zaat ki sachi kamai dey

dukh key safar me manzil e nayaft kuch na ho
zakhm e jigar sey zakhm e hunar tak rasai dey

me ishq kainaat me zanjeer ho sakun
mujh ko hisaar e zaat key shehr sey rehai dey

pehron ki tashnagi pe bhi saabit qadam rahun
dasht e bala me, rooh mujhe karbalai dey

Tuesday, November 19, 2013

kya jane wo dil se utar kyun nahi jata

kya janey wo dil se utar kyun nahi jata

kya janey wo dil se utar kyun nahi jata
gar shaam ka bhoola hai tou ghar kyun nahi jata

hum ko nahi maloom ke ujrey huey dil se
awara mizaji ka asar kyun nahi jata

sadyon se tujhe taktey huey soch raha hun
Gi terey khadd o khaal se bhar kyun nahi jata

aankho se udasi ki ghata kyun nahi jhat'ti
seeney se mohabbat ka bhanwar kyun nahi jata

thehra hai jo ek qafla gham miere dil me
es choti see basti se guzar kyun nahi jata

sanson se mere larzishe e gham kyun nahi jatee
pairon se mere zakhm e safar kyun nahi jata

kabhi yaad aao tou es tarha

kabhi yaad aao tou es tarha

kabhi yaad aao tou es tarha
ke lahu ki saari imaraten
tumhen dhoop dhoop samet len
tmhen rang rang nikhar den
tumhe harf harf me soch len
tumhe dekhne ka jo shoq ho
tou dyar e hijr ki taergi ko
mizza  (مژہ)  nok se noch len
kabhi yad ao tou es tarha
ke dil o nazar me utar sako
kabhi hadd se jis junoon barhey
tou hawas ban ke bikhar sake
kabhi khil sako shabe wasl me
kabhi khoon e jigar me sanwar sako
sare rahguzar jo milo kabhi
na theher sako na guzar sako
mera dard phir se ghazal baney
kabhi gungunao tou es tarha
mere zakhm phir se gulab hon
kabhi muskurao tou es tarha
meri dharkane bhi laraz utthey
kabhi chot khao tou es tarha
jo nahi tou phir bare shoq sey
sabhi rabtey sabhi zabtey
kisi dhoop chaon me torr do
nai shikaste dil ka sitam saho
no suno kisi ka azabe jaan
nai kisi se apni khalish kaho
yunhi khush phiro, yunhi khush raho
na ujar saken, na sanwar saken
kabhi dil dukhao tou es tarha
na simat saken na bikhar saken
kabhi bhool jao tou es tarha
kisi toor e jaan se guzar saken
kabhi yaad aao tou es tarha !!!!
kabhi yaad aao tou es tarha !!!
 

Tuesday, November 12, 2013

khayal o khwab huwa barg o bar ka mosam

khayal o khwab huwa barg o baar ka mosam

 khayal o khwab huwa barg o bar ka mosam
bicharr gaya teri soorat, bahar ka mosam
 
kai tuton se mere neem wa dareechon me
theher gaya hai terey intzaar ka mosam

wo narm lehjey me kuch tou kahey ke loat aey
sama'aton ki zamin per phuwar ka mosam

payam aya hai phir ek sar-o-qamat ka
mere wujood ko kheenchey hai daar ka mosam

wo aag hai ke meri por por jalti hai
mere badan ko mila hai chanar ka mosam

rafaqaton ke naey khwab khushtuma hen magar
guzar chuka hai tery aetbaar ka mosam

hawa chali tou nai barishein bhi sath aeeyen
zameen ke chehrey pe ayaa nikhar ka mosam

wo mera naam lye jaey aur me uss ka nam
lahoo me goonj raha hai pukar ka mosam

qadam rakhey meri khushbu ke ghar ko loat aey
koi bataey mujhe kuey yaar ka mosam

wo roz aa ke mujhe apna pyaar pehnaey
mera ghuroor hai beley ke haar ka mosam

tery tareeq -e- mohabbt pe baar ha socha
ye jabr tha ke tery ikhtyaar ka mosam


zara paney ki chahat me

zarra paney ki chagat me

zarra paney ki chahat main
boht kuch choot jata hai
na janey sabr ka dhaga
kahan par toot jata hai
kise hamrah kehte ho
yahan to apna saya bhi
kahin par saath rehta hai
kahin par chhoot jata hai
ajab shay hai ye rishta bhi
bahut mazboot lagta hai
zara c bhool se lekin
bharosa toot jata hai...

sardiyon ki ek sard shaam mein

sardiyon ki ek sard shaam mein
usne mere hath thaam ke kaha
"itne garm hath wafa ki nishani hote hain"
mujhe ab khayal aaya ke us waqt
uske hath itne thande kyun they